Na Duva Hai Na Koi Salaam Unse
Koi Seekhey Berukhi Ka Kaam Unse
Na Aaya Ab Talak Ke Payaam Unse
Thi Tamanaa Honge Hamkalaam Unse
Surur-E-Nazar, Wajd-E-Qalb-O-Jigar Ho To Ghazal Hoti Hain
Kuch Is Tarah Ki Kaifiyat Se Guzar Ho To Ghazal Hoti Hain
Badli Maen Chipa Nazar Aata Qamar Ho To Ghazal Hoti Hain
Zulmat-E-Shab Maen Umeed-E-Sahar Ho To Ghazal Hoti Hain