Teri Mohabbat Mein Jal Ke Hum Ab Raakh Hogaye
Apni Jhuti Hasi Mein Dabke Hum Aaj Khaak Hogaye
Jin Raston Pe Tere Jalwon Kaa Haseen Manzar Tha
Tere Jaane Se Ab Toh Woh Bhii Sabhi Veeran Hogaye
Ekk Khwaab Jaagti Aankhon Se Meine Dekha Hain
Unki Sanson Kee Khushboo Se Jeewan Mera Mehka Hain
Jis Dil Kee Dhadkan Tham Tham Ke Chalaa Karti Thii
Aaj Woh Dil Saari Khaamoshiyon Ko Todke Chehka Hain
Meri Dubti Kashti Ko Koi Kinaara Nahi Milta
Is Dil Ko Jo Sukun De Woh Sahaara Nahi Milta
Kyun Tanhaayi Mujhpe Is Kadar Havi Hai
Kyun Mehfilon Ka Mujhko Nazaaraa Nahi Milta
Kahaan Chale Gaye Ho Tum Mujhko Yoon Tanha Chhod Ke
Mere Mohabbat Se Bhare Is Masoom Dil Ko Todke
Aaj Bhi Intezaar Mein Waheen Baithi Hoon Mein Sanam
Jahaan Chale Gaye Tum Mujhe Barso Pehle Chhod Ke
Around The Corner I Have A Friend,
In This Great City That Has No End,
Yet The Days Go By And Weeks Rush On,
And Before I Know It, A Year Is Gone.
Zakham Apne Seene Ke Tumko Kabhi Hum Dikha Naa Sake
Roye Hum Aise Hain Ki Bebas Aasun Mere Aa Na Sake;
Yaad Karte Rahe Tumhe Hum Har Guzarte Shaam-O-Seher
Paas Apne Magar Tumhe Kabhee Hum Bulaa Naa Sake;
Khushiyaa Mere Ghar Aati Hain Aur Aake Phir Laut Jaati Hain
Yeh Zindagii Jaanay Pal Pal Mein Kis Kadar Badal Jaati Hain
Pehen Toh Lete Hain Hum Khushiyon Kaa Chamakta Hua Joda
Magar Iss Dard Kii Silwatein Usmein Saaf Bayaa Ho Jaati Hain
Jaane Meine Yeh Pyaar Mein Kaisi Tadap Paayi
Sehra Ke Bageechon Se Phulon Kii Umeed Lagayi
Khushi Chaahi Thii Per Kya Mere Naseeb Mein Aayi
Jaane Kyu Meine Ye Khanaa-E-Bejaan Aag Lagaayi
Forgive Me Allah
For The Wrongs I Have Done.
For Anger, I Shouldn’t Have
Against Anyone.
Kaash Ke Hum Bhi Un Jaise Khushnaseeb Hote
Phoolon Ke Sejh Pe Hum Bhi Har Raat Sote
Yaar Ke Khayaalon Mein Bekhabar Hum Khote
Kaash Ke Hum Itne Badnaseeb Toh Naa Hote