Kahin Safar Hain Kahin Raasta Hain Manzil Kaa
Ye Raat Din Kee Ghutan Kyun Azaab Hain Dil Kaa
Rawan Hain Kashti Magar Har Taraf Andhera Hain
Kisi Kaa Dosh Nahi Ye Kusoor Mera Hain
Jab Dava Na Mili, To Dard Ko Hi Dava Bana Liya,
Jab Pani Na Mila, To Aansuon Se Hi Pyas Ko Bujha Liya
Jab Saathi Na Mila To, Sharab Ko Hi Saathi Bana Liya,
Phool Na Mile To, Kanton Se Hi Dil Behla Liya
Mere Dard Ki Dawaa Hai Meh Ab Naa Kahi Hai Mera Aana Jana
Main Hu Ek Sharaabi Mera Ghar Hai Mehkhaana
Jisse Wafa Ki Umeed Thi Mujhko Jo Mera Apna Tha
Jiske Pyaar Ke Sahare Hi Main Jeeta Tha
Shayad Dekh Liye The Khwab Maine Assma Ke,
Ankh Khuli To Paya Ke Pair Ke Niche Zameen Hi Nahi
Kuch Jayada Soch Liya Tha Shayad Kisi Ke Liye,
Par Lagta Hai Uske Liye Hum Sathi Behtarin Hi Nahi
Shaam Ke Vaqt Jaam Yaad Aaya
Kitna Dil-Chasp Kaam Yaad Aaya
Bansuri Kii Navaa Ko Tez Karo
Aaj Raadha Ko Shaam Yaad Aaya
Teri Soch Meri Soch Nahin Hai
Afsos Kay Tu Wo Nahin Hai
Tere Harf Meri Zabaan Se Nahin Miltay
Main Kya Samjhoon Jo Tunay Kahi Hai
Faslay Asay Bi Houn Gay Yeh Khabi Soocha Na Tha
Samnay Betha Tha Meray Aur Wo Mera Na Tha
Wo K Khusboo Ke Tarah Phela Tha Meray Char Soo
Main Use Mehsoos Kar Sakta Tha Choo Sakta Na Tha
Tere Ekhlaas Se Mohabbat Ki
Tere Ehsaas Se Mohabbat Ki Hai
Tu Mere Paas Nahi Phir Bhi
Tere Yaad Se Mohabbat Ki Hai
Keh Do Aaj Tere Dil Me Nahi Koi Aaya Hai,
Aaj Jo Hai Sama Ye Bas Tune Banaya Hai.
Is Baar Thukraya Tune Fir Na Thukrana,
Badi Mannaton Se Khuda Ko Manaya Hai.
Bin Dhaikhay Bin Janay Woh Kuch Apnay Se Lagtay Hain
Bohat Dair Bad Milay Hon Jaisay Apnay Se Lagtay Hain
Pholon Say, Kaliun Say Kya Khub Kaha Hai Banwray Nay
Chutay Hain Jab Jab Hum Inhain Apnay Se Lagtay Hain