Ab To Wo Ghabra Ker Kehte Hain Ke Mar Jaayenge
Mar Ke Bhii Chain Naa Paaya To Kidhar Jaayenge
Phir Tere Kuche Jaata Hain Khayal
Ke Dile-Gam-Gushta Yaad Aaya
Khubsurti Ko Sajne Sawarne Ke Kya Zarurat
Aapki Saadgi Hee Keher Dhaati Hain
Koi Din Gar Zindagaani Aur Hain
Apne Jii Mein Hamne Thaanee Aur Hain
Aatish-E-Dozakh Mein Ye Garmi Kahaan
Soz-E-Gam Haay Nihaanee Aur Hain
Miltee Hain Khoo-E-Yaar Se Naar Iltihaab Mein
Kaafir Hoon Gar Naa Miltee Ho Raahat ‘Azaab Mein
[ Khoo-E-Yaar = Lover’s Nature/behavior/habit, Naar = Fire,
Iltihaab = Flame, ‘Azaab = Sorrow ]
Sau Sau Ummeedein Banti Hain
Teri Ekk-Ekk Nigah Pe
Aisa Naa Dekha Karo
Humko Yun Pyaar Se
Tere Waade Pe Jiye
To Ye Jaan Jhut Jaana
Khushi Se Mar Naa Jaate
Agar Aitbaar Hota