Mujh Se Cheen Kar Tune Ke Pardesi Meri Zabaan
Katl Kar Diya Bakhubi Se Mere Andar Ka Insaan
Ab Meri Qaum Itrati Hai Teri Boli Ke Talaffus Par
Sharmsaz Se Dikhti Hai Kabhi Anjaan Alfazo Ke Luknat Par
Jannat Main Bhee Bhala Sharab Ka Kyaa Kaam
Wahan To Ghum Ke Bus Yaad Hi Rah Jayegi
Ab Jo Tu Lauta Bhee Ae Bewafa To Kyaa Hasil
Teri Sohbat Main Teri Judai Ke Khalish Satayegi
Koi Ghum Nahi Ke Mujhko Gar Tawajjo Na De Yeh Zamana
Par Kabhi Is Mareeze Dil Ka Haal Puchne Aao To Jana
Hum Woh Ke Tere Chehere Main Mohabbat Karein Talash
Gar Tu Nazar Churae To Kusur Tera Jaana
Her Baar Mere Saamane Aatii Rahii Ho Tum
Her Baar Tum Se Mil Ke Bichhartaa Rahaa Hun Main
Tum Kaun Ho Ye Khud Bhii Nahiin Jaanatii Ho Tum
Main Kaun Huun Ye Khud Bhii Nahiin Jaanataa Hun Main
Naam Us Ka Liya To Uljhne Si Ho Gayi,
Shayad Humein Us Se Mohabbat Si Ho Gayi,
Wo Karta Raha Badnaam Humein Logon Mein,
Humein Bhi Mashoor Hone Ki Aadat Si Ho Gayi,
Aaj Rote Rote Hi Yakbayak Khud Par Hasin Aa Gayii
Bewaqt Betukii Hi Magar Kuchh Dair Ko Jee Behla Gayii
Ghumon Se Manusiyat Ho Jati Hai Kehte Hain Natjurbekar
Humein To Jub Jub Teri Yaad Aayi Phir Zinda Kar Mar Gayii
Chalo Khush Gawar Mausamo Ke Baat Ke Jaye
Chalo Ab Tumhari Baat Kee Jaye
Thak Gaye Zamane Ke Uljhano Se Hum
Chalo Kuchh Deir Rahat Ke Baat Ke Jaye
Woh Jo Kehte Thii Umar Bharr Deinge Saharaa
Kuchh Dur Hi Chale Toh Thake Mand Nazar Aaye
Woh Jo Karte Thii Roz Dawae Mohbbat Hamse
Apne Nazarye Pee Aaj Pashe Manda Nazar Aaye
Kisko Hamari Nisbat Kisko Hamri Fikar
Bekaar Behunaron Ka Kyon Ho Teri Mehfil Main Zikar
Mana Ke Ro Hi Dete Gar Tu Samne Na Hotaa
Aanso Na Sahi Par Chalakta Raha Khune Jigar