Mudaton Baad Dil-E-Zadgan Nay
Aik Purkaif Sa Unwan Chunna
Apnay Ander Khudi Kay Dhagay Say
Aam Sa Khak Ka Bhagwan Buna
Basti Basti Koocha Koocha Phirta Tanha Ik Awara
Kiya Iss Ka Rain Basaira Ho Hay Janam Janam Se Banjara
Iss Jag Ke Jhootay Vaidon Ka Na Pun Sacha Na Paap Sahi
Ab Atmmaon Ki Kerni Ko Yeh Jism Bharay Kion Bechara
Samnay Woh Hain Aur Gulaal Nahin
Chaand Tera Bhi Koi Haal Nahin
Unn Ki Duuri Se Hi Uter Jaye
Ishq Aisa Koi Ubaal Nahin
Meri Jaan Youn Na Udass Ho
Keh Woh Chand Lamhon Ki Ankahi
Tera Pairahan Ki Rafu Gari
Mere Bas Main Ab Na Rahi To Kiya
Ajab Se Din Hain Jo Kat Rahay Hain
Na Roz O Shab Ka Hisab Koi
Na Neel Ankhon Ke Khwab Koi
Sawal Koi Jawab Koi
Aur Yeh Zeesat Khwab Jaisi Hai
Khwab Kuch Khaan Mast Halon Kay
Aur Kuch Jada Hashm Walon Kay
Farq Tabeer Main Youn Hota Hai
Kal Dasht E Talb Kay Kisay Main Daali Jo Roop Ki Bheek Miyaan
Iss Wehshi Ko To Lagay Hai Yeh Man Sagar Tu Seep Miyaan
Aye Kash Juda Ho Jayin Hum Aika Aisa Bhi Theek Nahin
Iss Saz E Alam Kay Dohay Ka Hoon Main Mukhra Tu Teep Miyaan
Raat Bhar Hamkalam Thay Saye
Raat Bhar Teri Guftagu Thehri
Waqt Ik Be_rehem Bhanwar Nikla
Lamhay Lamhay Ki Justaju Thehri
Ajj Phir Tera Wasl Ki Chaon
Hijer Ki Dhoop Kaat Ker Ayi
Ajj Phir Dasht E Talb Se Umeed
Nangay Paon Nangay Sir Ayi
Bohat Dinon Sa Ramooz E Ahan Garri Ka Qur Aan
Mere Sarhanay Talay Para Hay
Hajum Andar Hajum Arzan
Kahaniyon Kay Hunood Jaisay