Geeli Palkein Keh Jaati Hain
Tanha Akeli Raaton Ko
Dhoondhti Aisa Humdum Hoon Jo
Rok De Inn Barsaaton Ko
Jo Paani Mein Ho Taghyaani Samundar So Nahi Sakta
Talatum Mein Wajood Apna Kabhi Woh Kho Nahi Sakta
Samandar Ki Tarhan Hi Har Kisi Ka Dil Agar Hota
Zamane Mein Koi Bhi Gharak-E-Toofan Ho Nahi Sakta
Dil Pareshaan Nazar Aaye To Mujhe Khat Likhna.
Tum Ko Tanhaaye Nazar Aaye To Mujhe Khat Likhna.
Padh Kar Tehreer Meri Dil Ki Dhadkan Jo Thehre.
Hausla Khat Jo Badhaaye Toh Mujhe Khat Likhna.
Woh Jeena Bhi Kya Jeena Hai
Jab Apni Koi Pehchaan Nahi
Kar Kuch Aisa Jaana Hai :
Samjhe Hame Koi Anjaan Nahi
Zindagi Ne Kaha Muskuraate Hue
Mil Toh Jao Kabhi Aate Jaate Hue
Woh Bhi Shayad Pasheman Tha Meri Tarhan
Mudd Ke Dekha To Tha Uss Ne Aate Jaate Hue
Rut Nahi Thi To Raha Ji Ka Sambhalna Muskil
Aaj Mausam Hai Toh Zindan Se Nikalna Mushkil
Chaar So Daira Der Daira Pheli Chahat
Itni Mazbooti Se Kayam Ke Nikalna Mushkil
Chaaron Dishaon Mein Phail Gayi Hai Roshni
Chand Laga Hai Hasne, Baarish Ki Boondein Ho Gayi Hain Meethi
Neele Aasmaan Mein Udte Panchiyon Ki Boli Ban Gaye Hai Sangeet
Chupaane Lage Hain Hum Khudh Ko Duniya Se
Mujhe Yaad Hain Aaj Bhi Uss Ki Baatein
Woh Pyaari Si Baatein
Woh Guzre Huwe Din Bhi Kya Din The Yaaro
Woh Apni Mohabbat Woh Duniya Ki Baatein
Mera Gunaah Kya Hai Yeh To Bata Dijiye
Aashiq Hoon Mein Aapka Itni To Mat Saza Dijiye
Bahut Tadpaya Hai Yaadon Mein Aakar
Ab Toh Zara Apna Chehra Dikha Dijiye
Gulshan Ki Bahaaron Pe Sar-E-Shaam Likha Hai
Phir Iss Ne Gulaabon Pe Mera Naam Likha Hai
Shayad Meri Jana Ne Paighaam Likha Hai
Yeh Dard Musalsil Meri Duniya Mein Rahega