Kuch Lamhe Jo Beete Saath Tumhare
Kuch Baatein Jo Thi Saath Humare
Yeh Baatein Hain Tumhari
Ya Baaton Mein Tum Ho
Manzilein Door Hain Par Unka Sahara Bhi Hai
Unse Milne Ka Har Waqt Gawara Bhi Hai
Har Taraf Mushkilein Hain Dil Ko Yeh Maloon Bhi Hai
Har Taraf Khaayee Hai Kuch Door Par Kinara Bhi Hai
Chakor Ne Apne Chaand Se Kya Kaha Hai
Ki Chaand Ne Sharma Kar Apni Roshni Se
Is Zameen Aur Aasmaan Ko Roshan Kiya Hai
Parwaane Ne Apni Shama Se Yeh Kya Kaha Hai
Jab-2 Chand Sitaaro Se Sajji Ye Raat Aati Hai
Machal Kar Mere Jazbaato Ka Tufan Uthati Hai
Chalak Jaate Hai Aansoo In Aankho Se
Jab-2 Poonam Ki Wo Raat Yaad Aati Hai
Kya Haseen Wo Mohabbat Ka Shamaa Tha
Hamari Aankho Mein Sirf Tera Hi Chehra Jawaa Tha
Aaj Naa Jaane Tu Kaha Kho Gayi Hai
Ro-Ro Kar Teri Surat Meri Aankho Mein Dhudhali Ho Gayi Hai
Mujhe Dard Usne Hi Diya Hai
Jo Apna Kehta Tha Usi Ne Hi Hamara Dil Toda Hai
Hamari Wafa Ne Bhi Ye Sabak Sikha Hai
Apni Khushiya De Kar Jisko Dil Diya Tha
Main Dard Ki Yaadein Vo Puraani Nahi Rakhti
Apne Zehan Mein Koi Kahaani Nahi Rakhti
Bite Hue Lamhon Ko Bhulana Hi Munaasib
Guzre Hue Kal Ki Main Rawaani Nahi Rakhti
Mohabbat Hi Mera Humraah Aur Meri Tanhayee Hai
Yehi Par Kabhi Hasi To Kabhi Ruswaai Hai
Isi Se Hai Waade Saare
Aur Isi Mein Chupi Kisi Ki Bewafaai Hai
Mohabbat Hi Hai Woh Jab Nighahon Mein Koi Sama Jaaye
Zindagi Mohabbat Hoti Nahi Kabhi
Haan Mohabbat Zindagi Ban Jaati Hai
Mohabbat Mein Sab Majboor Hote Hain
Dil Mein Phir Aaj Teri Yaad Ka Mausam Aaya
Phir Mere Seene Mein Tu Dard Ka Badam Laaya
Jab Bhi Saawan Koi Barsa Mujhe Mehsoos Hua
Ishq Ke Dariya Mein Tu Mujhko Bhigone Aaya
Dil Mein Phir Aaj Teri Yaad Ka Mausam Aaya
Kya Ab Bhi Tumhari Furqat Mein Ek Saawan Koi Likhta Hai
Kya Ab Bhi Tumhare Honthon Par Ek Chumban Koi Dharta Hai
Kya Ab Bhi Tumhare Shanon Se Malmal Ka Dupatta Girta Hai
Kya Ab Bhi Tumhari Baahon Mei Ek Dil Sa Koi Rehta Hai
Khaar-O-Khas To Uthen Raastaa To Chale
Main Agar Thak Gayaa Qaaflaa To Chale
Chaand, Suuraj Buzurgon Ke Naqsh-E-Qadam
Khair Bujhne Do Unko Havaa To Chale
Sawan Ke Suhane Mosam Mein
Ek Naar Mili Badal Jaisi
Maathe Pe Sitaaro Ki Jag-Mag
Bangal Ka Jaadoo Baalo Mein
Hontho Pe Tabbsum Phoolo Ka
Kashmir Ki Rangat Gaalo Mein
Bijali Jo Humare Dil Pe Geeri
Un Aankho Mein Thi Kajal Jaisi