Shaam Ho Jaam Ho Subuu Bhii Ho
Tujh Ko Paane Kii Justajuu Bhii Ho
Dil Se Dil Kii Kahaaniyaan Bhii Sune
Aankhon Aankhon Mein Guftaguu Bhii Ho
Hamare Shaunq Ki Ye Inteha Thi
Qadam Rakha Ke Manzil Raasta Thi
Bichad Ke Daar Se Ban-Ban[Forest] Phira Vo
Hiran Ko Apni Kasturi[Musk- Deer]Kaza Thi
Woh Haqeeqat Main Nahi Hai
Jo Haqeeqat Main Hai Saamne
Woh Hamare Sapno Main Nahi Hai
Jo Dil Main Hai Hamare
Maikadaa Thaa Chaandani Thi Main Na Thaa
Ik Mujassam Bekhudi Thi Main Na Thaa
Ishq Jab Dam Todataa Thaa Tum Na The
Maut Jab Sar Dhun Rahi Thi Main Na Thaa
Kuch Beete Lamhe Jab Laut Ke Aate Hain
Gam Ke Saaye Saath Me Laate Hain
Hum Jitna Bhi Chaahe Aaine Ke Saamne Mukuraana
Na Jaane Aansoon Kahan Se Aankhon Me Bhar Aate Hain
Ai Maut! Unhein Bhulaaye Zamaane Guzar Gaye
Aa Jaa Ki Zahar Khaaye Zamaane Guzar Gaye
Oh Jaane Vaale Aa Ki Tere Intazaar Mein
Raste Ko Ghar Banaaye Zamaane Guzar Gaye
Shauq Se Aayain Gham Zamaane Ke
Dar Khule Hain Gharibkhaane Ke
Kya Sune Koi Daastaan-E-Wafa
Lakh Unvaan Hain Ik Fasaane Ke
Farz Karo Tum Chat Per Baithe
Apne Baal Sukhatey Hoo
Farz Karo Ke Dhoop
Ka Us Din Kuch Kuch Rang Gulaabi Ho
Muhabbat Jeet Hoti Hai Mager Ye Haar Jati Hai
Kabhi Dilsoz Lamhon Se Kabhi Bekaar Rasmon Se
Kabhi Taqdeer Walon Se Kabhi Majboor Kasmon Se
Mager Ye Haar Jati Hain Kabhi Ye Phool Jaisi Hai
Sabz Madham Roshani Main Surkh Anchal Ki Dhanak
Sard Kamre Main Machalti Garm Sanson Ki Mahak
Bazuon Ke Sakht Halqe Main Koi Nazuk Badan
Silwaten Malbus Par Anchal Bhi Kuch Dhalka Hua