Bichra To Dard Rooh Ki Gahraiyun Main Tha
Ho Ke Juda Bhi Tu Meri Tanhaiyun Main Tha
Deewangee Ko Meri Ishq Mantay Hain Sab
Ruswa Tu Bhi Saath Meri Ruswaiyun Main Tha
Dard Kaisa Bhi Ho Ankh Nam Na Karo
Raat Kaali Sahi Koi Gham Na Karo
Ik Sitara Bano Jagmagatay Raho
Zindagii Mein Sada Muskaratay Raho
Sokhay Hoont, Sulgati Ankhain, Sarsoon Jaisa Rang
Barsoon Baad Wo Daikh K Mujhko Reh Jaey Ga Dang
Mazi Ka Wo Lamha Mujhko Ajj Bhi Khoon Rulayey
Ukri Ukri Batain Usski Garion Jaissay Dhang
Jalaate Hai Hum Apne Dil Ko Diye Ki Tarah
Teri Zindagi Main Khushiyon Ki Roshni Lane Ke Liye
Seh Jate Hai Har Chubhan Ko Apne Pairon Tale
Teri Rahon Main Phool Bhichane Ke Liye
Yakin Har Rishte Ki Buniyaad Hota Hain
Toot Jaaye Agar To Judna Mushkil Hota Hain
Kehna Aasan Hain Humain Yakin Nahi Hain Tumpe
Lekin Dard Ish Cheez Ka Be-Panah Hota Hain