Chaalte Chalte Raah Mein Woh Thokaren Khaayaa Kare,
Aankh Jiskii Aasamaan Kii Or Uth Jaayaa Kare!
Ik Dafaa Hotaa Hai Raushan Aafataab E Zindagii,
Aik Bhii Katraa Nah Iske Noor Kaa Zaayaa Kare!
Kyu Aaj Hakikat, Ek Fasana Laga,
Meri Rukhsat Pe, Tu Begana Laga,
Akhiri Salam Bhi Aise Hua Nasib,
Ye Muskurana Ahsaan Jatana Laga,
Woh Gulaab Hai Teri Yaad Ka, Jo Rakhaa Huaa Hai Kitaab Me.N,
Woh Tere Hii Khwaabon-Khayaal Hai, Jo Saje Hue Hai Kalaam Me.N!
Hun Teri Nazar Kii Firaaq Me.N, Main Nah Maikade Kii Talaash Me.N,
Jo Khumaar Terii Nigah Me.N Hai,Woh Kahaa Milegaa Sharaab Me.N!
Tawaq’qo* Ak Tarfaa Ish’q Se Kam Ho To Achchhaa Hai!
Use Bas Muskuraataa Dekh Ke Jee Lo To Achchhaa Hai!
Bahaar Ik Um’r Se Barham* To Patjhar Meh’rbaan Mujh Pe,
Mujhe Gulshan Se Apne Door Hee Rak’kho To Achchhaa Hai!
Naa Mehfilen Hain, Naa Koi Jashan,
Aangan Mein Tareeki-E-Raqs Hain!
Ye Jo Aayine Mein Mera Aks Hain,
Mere Ghar Mein Ekk Hee Shaks Hain,
Ajab Aaj Shab Ki Ye Kudrat Hui Jo
Husn-E-Chand Mein Udaasi Kee Shirkat Hui Jo!!
Raat Ke Anhcal Mein Ekk Sitaara Bhee Nahi
Jaise Koi Baraat, Kisi Mandap Se Uthi Ho!
Woh Gajhal Hai To Use Jaroor Gungunaygey,
Wo Khwab Sa Laga, To Palkon Pe Sajayenge,
Wo Chandni Hai Chand Ki,Ya Mehtaab Ka Tej,
Unse Mulakat Ke Baad, Ye Kayas Lagayenge,
Wahii Phir Zahan Me.N Mere Aanaa Chaahe!
Kalam Bhii Wahii Ek Afasaanaa Chaahe!
Jise Qatl Karake Dafan Kar Chukaa Thaa!
Usii Raaz Kii Jaa.N Me.N Jaa.N Laanaa Chaahe!
Chupke Chupke Gham Khushee Ke Bhes Mein Daakhil Huaa!
Sankaron Kaante Chubhen, Jab Ek Gul Haansil Huaa!
Khaak’e Paa* Hun,Khaak Mein Paidaa Huaa,Pal Bhee Gayaa!
Kuchh Buzurgon Kee Duaa, Kuchh Aap Hee Qaabil Huaa!
Dheer Apne Hii Daaman Koo, Bedaagh Banaanaa Hain,
Phir Jaa Ke Zamaane Ko Aaeen’ah Dikhaanaa Hain!
Ab Tere Muhabbat Bhee Ik Bhoola Fasaanah Hai, [Q]
Ik Band Lifaafaa Hain, Ik Khwaab Puraanaa Hain!