Kya Karu Main Is Berehm Lamho Ka,
Har Bar Intezar Main Uska Kar Leta Hu
Kya Kahu Main Ab Usse Kuch Yaron,
Uski Sb Bate Main Dil Se Sun Leta Hu
Khayalon Ki Duniya Mein Jee Raha Hu Abhi,
Mujhe Ye Pyaar Bhare Khawab Tum Dekhne Do
Dilaya Hai Aapne Mujhe Apnepan Ka Ehsas,
Mujhe Ab Aapke Sare Dukh-Dard Ko Sehne Do
Har Janam Mein Tumhe Paane Ki Chahhat Rahegii.
Tere Liye Sadaa In Honthon Pe Muskurahat Rahegii
Zindagii Ke Kisi Mod Pe Shayd Hum Bichad Jaayen,
Dil Ki Un Galiyon Mein Mere Kadmon Ki Aahat Rahegii
Kuch Bhi Kar Jau Main Tumhare Liye
Yuhi Tumhara Mujhpe Vishwas Rahe
Pata Nahi Kya Hoga Aage Zindagi Me,
Chahat To Yhi He Ki Tuhi Mera Humsafar Rahe
Zindagi Se Shikwa Kaise Karu Main,
Maine To Apno Se Hi Chhot Khayi Hai
Jise Chaha Tha Main Bade Dil-O-Jaan Se,
Pata Chala Aj Wohi Sab Se Parayi Hai
Main Dil Me Basalunga Tumhe Uhi
Par Kya Tum Mera Ehsas Ban Paogi
Tut K Bikhar Gaya Main Kabhi To,
Kya Tum Mujhe Sambhal Paogi
Aaj Samajha Hu,
Kyu Darata Hai Hur Koi Dil Lagane Se,
Sirf Bewaffi Milti Hai,
Bhale Lad Jao Kisike Liye Zamane Se….
Aaj Samajha Hu,
Kyu Ladta Hai Samndar Apne Kinare Se
Sirf Pal Bhar Ki Khushi
Hi Milti Hai Kinare Ke Miljane Se….
Kab Se Intezar Kar Raha Tha Uske Jawab Ke
Aane Ka Chalo Aaj Uska Jawab To Aaya.
Maine Jo Likha Tha Uske Bare Me Khusi Hui
Ye Janke K Use Wo Pasand To Aaya.
Bas Chahta Yhi Hu K Khus Rahe Wo Hamesha ..
Khusnib Hu Main K Zindagi Me Maine Aisi Dost Ko Paya.
Shukar Karta Hu Us Khuda Ka Bhi Main Kyuki
Usne Itni Achhi Dost Se Jo Mujhe Milaya.
Main Ek Bujhta Hua Diya Hun,
Roshni Kaha Se Ab Main La Paunga
Main Ek Hawa Ka Jhonka Hun,
Pal Bhar Me Yaha Se Beh Jaunga
Ye Nazre Dhhundhti Hai Meri Sirf Unko,
Ye Nazre Meri Sabhi Ke Liye Nahi Uthti
Ankho Me Ankhe Milake Baat Kre,
Ye Palke Sabhi Ke Samne Nahi Jhukti