Kahi Kabra Kahi Khun Se Lipta Khanjar Nazar Aata Hain
Aye Khuda Jab Is Duniya Ko Dekhta Hoon
Laasho Pe Bana Hua Khandar Nazar Aata Hain
Kahi Aasoon Kahi Dard Aachal Banke Lehrata Hain
Har Lamha Sajaya Teri Yaado Se
Dard Apna Chipaya Teri Yaado Se
Khuda Ne To Chin Li Zindgi Hum Se
Mar Ke Bhi Ji Rahe Teri Yadoo Se
Lab Pe Aai Baat Ko Hum Roke Kese
Dard Had Se Gujar Jaye Hum Roke Kese
Nahi Bhula Hu Me Jisko Bhul Kar Bhi
Vo Haste He Meri Barbadi Pe Hum Roke Kese
Koi To Samjhe Hale Dil Mera
Bada Dard Deta He Ye Zakhm Mera
Nasur Ban Gaye Meri Zindgi Ke Pal
Mot Pe Bhi Na Baki Raha Hak Mera
Hatho Me Lekar Jam
Pine Ka Bahana Bana Diya
Unki Khushi Ki Khatir Humne
Khud Ko Bewafa Bana Diya
Fir Hame Aap Ki Yaad Aai
Sukhi Aakhe Fir Chalk Aai
Jab Mehsus Kiya In Hayao Ko
Har Jhoke Me Teri Aawaj Aai
Jiski Mohabat Me Hum Badnam Huye
Aaj Vo Hi Najre Jhukaye Bethe He
Samajh Na Paye Vo Deewanapan Mera
Jinki Chaht Me Hum Barbad Huye Bethe He
Ab To Mujhko Hasa Zindgi
Chand Lamho Ko Mera Gum Bhula Zindgi
Tutta Raha He Har Sapna Mera
Ak Sapna To Mera Bacha Zindgi