Adhoora Hain Mera Har Khwaab Tere Bina
Kaise Bataayu Kya Hain Ab Haal Tere Bina
Badlaa Nahi Mausam Tere Jaane Ke Baad
Kya Patjhad Ab Kya Yeh Bahaar Tere Bina
Woh Ajnabee Ban Ke Mila Karte Hain
Phir Bhee Kyun Humse Gilaa Karte Hain
Zakhm Dete Hain Kuch Jaan_bujh Kar
Phir Chupke Se Aake Dawa Karte Hain
Tu Agar Jo Chaahe To Bhulaa De Mujhe
Har Nishaani Meri Ab Lautaa De Mujhe
Bhale Ab Mujhe Manaane Naa Aaye Tu
Magar Tere Saher Kaa Pataa De Mujhe
Teri Yaadon Ko Mein Dil Se Bhulaau Kaise
Tu Mera Nahii Ye Khud Ko Samjhaau Kaise
Aaj Bhii Meri Aankhon Ko Tera Intzaar Hain
Tu Hi Bataa Teri Raahon Se Laut Jaau Kaise
Kitne Bahaane Bana Ke Behlaaya Dil Ko
Tujhe Roshni Dene Aaj Jalaaya Khud Ko
Tere Pyaar Pe Tha Mujhko Kabhii Gurur
Tune Hee Dekh Kaha Se Giraaya Khud Ko
Woh Dil Se Mujhe Naa Bhulaa Sakega
Meri Tarhaa Woh Bhee Tadpaa Karega
Mujhse Woh Khafaa Rehtaa Tha Kabhii
Ab To Uss Se Bhee Koi Ruthaa Rahega
Mein Kya Huun, Koi Aa Ke Bataaye Mujhe
Mein Zinda Huun, Yeh Ehsaas Ho Jaaye Mujhe
Ansu Sukh Gaye Koi Aa Ke Rulaaye Mujhe
Mein Zinda Huun, Yeh Ehsaas Ho Jaaye Mujhe