Aaj Jo Baarista Hai Saawan To Behne Do
Tumne Jo Liya Thaa Wada Aaj Wo Bhulane Do
Is Barsaat Ke Saath Nainon Ko Bhi Behna Do
Aankhon Kaa Kajal… Behne Do
Zindagi Kuch Iss Tarah Se Jiye Ja Rahe Hain
Jaise Shaan Se Koi Gunah Kiye Ja Rahe Hain
Aise To Kissi Kasam Ka Pehra Nahi Hum Per
Fir Bhi Aansu Pe Kar Muskuraye Ja Rahe Hain
Bahut Door Chale Aaye Hum Tere Saath Chalte Chalte
Dhalne Lagi Hai Shaam Ab To Saath Chalte Chalte
Is Berang Si Zindaagi Mein Naya Rang Bhar Gaya Tha
Hui Aur Bhi Sindoori Meri Shaam Dhalte Dhalte
Apni Aankho.N Mein Jo Rehti Ho Mere Aansoo Liye
Apne Aansuo.N Mein Jo Rehti Ho Mere Gum Ko Jiye
Naam Jo Kabhi Aaye Meraa To Rehti Ho Hotho.N Ko Siye
Kaho Kaise Na Ho Pyaar Tumse, Tumper Na Mare To Kyaa Jiye
Apne Palako.N Mein Jo Rehti Ho Mere Khawabo.N Ko Liye
Apne Dil Mein Jo Rehti Ho Meri Yaado.N Ko Jiye
Mere Intezaar Mein Jo Jaltey Hain Teri Aankho.N Ke Diye
Kaho Kaise Na Ho Eitbaar Tumpe, Tumper Na Mare To Kya Jiye
Hazaro.N Phool Hain Tere Gulshan Mein,
Koi Ek To Mera Hoga….
Hazaro.N Tarey Hain Iss Gagan Mein,
Koi Ek To Mera Hoga….
Log Aate Hain Chale Jate Hain
Gamo.N Ki Saugaat Hum.Ne Dee Jate Hain
Je Rahen Hain Ki Maut Nahi Maang Sakte
Kuchh Waada Hain Jo Hum Tood Nahi Sakte