Aaj Phir Teri Yaad Ne
Mujhe Halke Se Sahla Diya,
Yaad Nahi Maine Kab Tujhe
Chupke Se Bhula Diya,
Wo Aasmaan Si Khaamosh
Teri Nigahen Yaad Aa Gai,
Me Hairaan Raha Teri Gumnaami Par
Ek Umr Hue, Tujhe Ye Duniya Kha Gai,
Jo Rog Isme Naa Thaa ye Chaand Laga Baitha Hain
Apni Ummeed Se Ekk Chot Wo Kha Baitha Hain,
Kuchh Iss Kadar Barhi Ye Tang-Dili Uski
Sabko Ye Duur Se Salaam Kiye Baitha Hain,
Ekk Ham Hain Ke Sir Jhukaaye Khade Hain…umron Se
Ekk Wo Hain Ke Wo Ham Pe Taras Khaate Hii Nahi…
Ekk Mudat Se Liye Baithe Hain Khanjarto Magar
Jaane Kis Soch Mei Hain ’wo’ ham Pe Chalaate Bhii Nahii
Na Mere Aaj Me Shamil Hai Woh
Or Na Gujra Waqt Hi Bun Pati Hai
Mai Jab Bhi Barhata Hun Fasle Us.Se
Wo Mere Or Karib Aa Jati Hai
Wo Juban Hai Ke Koi Izajat Nahi Deti
Or Nazrien Mere Hausle Barhati Hai
Kai Baar Samjhaaya Ke Sabhaalo In Awaara Zulfon Ko
Kambakht Ud Ud Kar Mere Hi.Chehre Pe Bikhar Jaati Hai
Wo Seher Bhi Aane Ko Hai
Jiska Tum Intzaar Karte Ho,
Jaante Ho Shabnam Ho Gar
Phir Zarron Par Kyon Padte Ho,
Yoonto Pehle Bhi Milte Rahe Ham
Per Abke Jo Mile To Kuchh Yoon Mile
Ke Dil Bhi Mila Aaye
Ey Doston Baat Sirf Chehron Ke Nahi
Jitni Shidat Se Barhaata Huun Kadam
Waqt Do-Chaar Kadam Peechhe Nikal Jaata Hain,
Wo Jo Pal Bhar Ko Nazar Aata Hai Apna Sabkuchh..
Ekk Hii Pal Mein Kuchh Bhii Nahii Reh Jaata Hain,
Meri Iss Mast Mizaazi Tabiyat Se
Wo Khuda Bhii Rask Kha Gaya,
Wo Chehra Jise Dekhkar Muskuraate The Ham
Use Mere Dard Kaa Sabab Bana Gaya,
Mere Kaanton Se Katraane Ke Khaatir
Woh Apne Panjon Pe Challa Karta Hai,
Badi Taqleeff Hoti Haii …Ey Khuda
Usski Taqleeffon Mujhe Usski Taqleefon Se
Ekk Kaam Kar….
Ya To Kaante Hata Meri Iss Shakshiyat Se
Ya Meri Is Mitti Ka..Nishaan Hi Mita De.
Wo Sheher Bhii Chhod Gaya
Jo Kabhii Apna Sa Lagta Tha,
Un Apnon Se Naata Tut Gaya
Jinse Bichadna Ekk Sapna Lagta Tha,