Teri Aankhon Main Hai Mere Khwaabon Ka Basera
Jaise Dhal Gayi Ho Raat, Aur Jhoomta Aaye Sawera
Tujhe Jaana Jabse Maine Laga Khud Ko Paa Liya Ho
Har Baar Laga Mil Kar Ki Jaise Tu Hai Mera Aaeena
Sunaa Hai Bole To Baaton Se Phul Jhharte Hain
Ye Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain
Sunaa Hai Raat Use Chaand Taktaa Rahtaa Hai
Sitaare Baam-E-Falak Se Utar Kar Dekhte Hain
Bheegi Palkain Bheege Khwaab Dhadkan Tham Si Jaaye Kyun
Chalte Chalte Bandh Gaye Qadam, Koi Raah Nazar Na Aaye Kyun
Ek Aor Roshni Phailaaye Daaman Bulaati Hai De Kar Awaaz
Jab Bhi Chaahen Choona Usko, Wo Roshni Bujh Si Jaaye Kyun
Kabhi Ban Ke Saaya, Kabhi Ban Ke Khushbu
Sadiyon Se Tum Mere Humraah Ho Jaana
Chanchal Hawa Dheere Se Jo Chu Ke Mujhe Jaati Hai
Aksar Laga, Tumne Chua Mujhe Chupke Se Jaana
Samajh Kar Bhi Na Samajh Paaye Tujhe Hum
Jaane Anjaane Tera Dil Dukha Diya Humne
Tune To Sada Rakha Tha Palkon Par Saja Kar
Khud Ko Us Muqaam Se Gira Diya Humne
Ye Tanha Raat, Aur Kuch Nam Si Aankhain Hain
Meri Samaa’at Main Goonjti Unki Baatain Hain
Beqarari Si Hai Dil Ko Jaane Kaisi Ek Tadap Hai
Ruk Ruk Ke Chal Rahi Kyun Aaj Ye Saansain Hain
Thak Jaao Gar Pathreele Raaston Pe Chalte Hue
Kabhi Soch Na Lena Ki Wahan Tanha Ho Tum
Moond Kar Palkon Ko Apni Jo Tum Dekhoge
Apne Saath Hi Sada Mujh Ko Paaoge Tum
Aksar Apne Kamre Ki Khidki Ke Paas Khade Ho Kar
Main Khoyi Si Rehti Hoon, Kuch Socha Karti Hoon
Moond Kar Apni Palkon Ko Yaad Karti Hoon Tumhe
Aur Dheere Dheere Se Kuch Khwaab Buna Karti Hoon
Tere Pyaar Ne Woh Raag Cheda Dil Ke Soone Taaron Par
Zindagi Lage Khoobsurat, Phir Kyun Na Gungunaoon Main
Masti Bhari Nigaahen Jaane Kya Kya Ishaara Karti Hain
Samjhoon Tere Ishaare, Phir Kyun Na Muskuraoon Main
Teri Chahat Sukoon Ban Kar Mere Andar Utar Jaati Hai
Mere Lahu Main Ghul Kar, Nas Nas Main Bahe Jaati Hai
Ye Tera Maasoomiyat Se Mujhe Dekh Kar Muskuana
Teri Har Ada Se Mere Dil Ki Dhadkan Bikhar Jaati Hai