Is Bheegte Mausam Mein Beegte Hum
Aur Bheeg Jaati Hai Sanam Teri Yaadein.
Soochte Hai Hum Sooche Na Tumko Kabhi
Per Tanhaayee Mein Bulati Hai Sanam Teri Yaadein
Ek Hansi Per Mere Sare Sapne Kurbaan
Chahey Sapna Mere Sansaar Ka Ho
Sari Umar Nafrat Sahker Ji Lunga
Magar Nafrat Mere Yaar Ka Ho
Hum Paas Aane Ka Bahana Khojte Rahe
Wo Door Humse Jaane Ki Wajah Maangte Hai
Jaante Hai Unke Bagair Jee Na Sakenge Hum
Isliye Mujhse Meri Maut Ki Raza Maangtein Hai
Kuch Khumaar Yahan Per Chaya Hai
Jo Nazar Yahan Per Aaya Hai.
Sandesh Se Baatein Kerne Ka
Andaaz Naya Ek Aaya Hai
Palke Bichai Yaad Mein Tere To Palke Bhigo Gaye,
Maajhi Banaya Naau Ka To Majdhaar Dubo Gaye.
Pane Ki Tujhe Chah Mein Itne Chalaye Haath Pair,
Tasveer Ankho Mein Thi Magar Hosh Kho Gaye.
Aaj Mein Bin Kahe Unko Jaan Leta Hu
Aapne Ashqo Se Unke Askho Ko Pehchane Leta Hu
Log Kehte Hai Ki Namak Zakhmo Per Jalta Hai
Unke Namkeen Askho Ko Mein Malham Maan Leta Hu
Tum Mera Pehla Pyaar Ho,
Tum Chetna Ka Vistaar Ho,
Tum Dhamaniyoon Ka Pravaah Ho,
Tum Mera Prem Aatha Ho,
Tum Saanso Ki Rahat Ho,
Tum Meri Pehli Chahat Ho,
Tum Jeevan Ke Sringaar Ho
Tum Mera Pehla Pyaar Ho.
Tujhe Dekh Saanse Tujhe Yaar Karne Lagi
Dekhu Tumko Baar Baar Kahne Lagi.
Tuje Bandu Tujhe Yaar Dildaar Kahne Lagi.
Aur Chut Ke Roye Use Pyaar Kahne Lagi
Phir Se Kyun Usi Bazar Mein Mujhe Le Jaate Hai Log
Phir Wohi Gali Wo Rasta Mujhe Dikhate Hai Log
Dekh Ker Hi Dil Phir Se Ghabra Jaata Hai
Yahan Muskaan Ka Bhi Daam Lagate Hai Log
Aapne To Aapne Hai
Phir Bhi Dhokha De Jaate Hai
Jinse Khushi Ki Thi Umeedein
Wo Humko Bahut Rulte Hai