Rok Na Paye Hai Tumhe,
Ke Khud Se Khafa Hai Kuch Is Tarah,
Kah Na Paye Ke Chahate Hai Tumhe,
Raaz Chupe Hai Kain Dil Main Kuch Is Tarah!
Apane Asuon Ko Pite Rahe,
Ke Dard Liya Hai Kuch Is Tarah,
Kitana Pyaar Hai Tumse, Kah Na Paye Tumhe,
Kain Zakhm Rokate Ho Kuch Is Tarah!
Waqt Suhana Hota Hai,
Jab Dil Yeh Deewana Hota Hai,
Jab Yeh Intazaar Hota Hai,
Aur Tarasti Nigahon Ko Deedar Hota Hai
Tere Anchal Se Nikalata Tha Suraj,
Teri Gesu-O-Main Dhalati Thi Raat,
Main Bhul Jaata Tha Duniya Ko,
Yeh Abhi Kal Ki Hi To Hai Baat!
Tere Hothon Ko Chhute Lub Mere,
Teri Narm Bahon Ke The Ghere,
Kuchh Din Hi Rahe Hum Sath Magar,
Kitane Dur The Tanhai Ke Andhere!
Kyun Dhadkane Aaj Bhi Tera Hi Naam Leti Hai,
Kyun Nigahen Aaj Bhi Tumhe Hi Dundhati Hai,
Kyun Sanson Main Aaj Bhi Tumhari Hi Khushbu Hai,
Kyun Bahon Main Aaj Bhi Tumhari Hi Bahon Ki Garmi Hai,
Kyu Ruth Kar Chale Gaye,
Humko Akela Chod Gaye,
Chahte Hai Tumhe Jaan Se Jyada,
Kyu Tod Diya Sang Rahene Ka Wada,
Bekhauf Hokar Izhare Mahobat Karta Hun
Chupkar Karte Hai Sub Main Sare Aam Karta Hun
Kyon Darte Hain Zazbaten Mahobat Bayan Karne Se Log
Khuda Ki Sab Se Badi Nymat Ko Kahete Hain Rog
Chupa Liya Hai Anchal Mein Jis Chand Ko Usey Be Nakab To Hone Do
Bayan Karenge Hale Dil Hum Bhi Ek Baar Deedar To Hone Do
Kya Gazab Ka Husn Paya Hai Tune Ke Niyat Dol Gayi Meri
Dekh Lun Tumhe Ek Baar Jee Bher Ke Bus Yehi Arzu Hai Meri
Tere Ishq Ka Khumar Tha Dil-E-Nadan Ko,
Kya Pata Tha Isey Nazare Tarsengi Didar Ko,
Bus Ab Is Deewangi Ki Saza Farman Ho,
Pal Do Pal Ka Nahi Isey Sadiyon Ka Intazaar Do!
Baton Baton Main Ruth Jate Ho Kyun,
Ruth Kar Humey Tadapate Ho Kyun,
Yeh Raaz-E-Dil Khol Bhi Do Zara,
Humsey Ruth Kar Chale Jate Ho Kyun!
Kis Baat Per Hamari Naraz Ho Yun,
Chand Sa Mukhada Chupa Baithe Ho Kyun,
Kya Hai Dil Main Tumhare Bol Bhi Do Zara,
Narazagi Ka Zeher Piye Jate Ho Kyun!
Mahobbat Ka Dava Karate Hai Duniya Wale,
Wafa Ka Daman Thamate Hai Bahot Kum Dilwale!
Hum Nahi Jatate Ki Mahobbat Hai Tumase,
Tumhi Jaan Lo Kya Kahena Hai Dil Ko Dil Se!