Ajab Pagal Si Ladki Hai, Wo Mujhe Sab Se Achhi Lagti Hai,
Use Her Rang, Jo Main Ne Ho Pehna, Acha Lagta Hai,
Use Her Khuwab, Jo Main Ne Ho Dekha, Sacha Lagta Hai,
Guzre Dinon Ki Achhi Baatein Yaad Rakhta Hoon,
Khushiyon Mein Bhi Ashkon Ki Baratein Sath Rakhta Hoon,
Main Ab Aksar Tanha Ho Kar Bhi Tanha Nahi Rehta,
Jahan Bhi Rahoon Teri Yaadein Sath Rakhta Hoon,
Khulta Nahi Hai Haal Kisi Par Kahe Bagair,
Par Dil Ki Jaan Lete Hai Dilbar Kahe Bagair,
Main Kyun Kar Kahun Tum Aao Ke Dil Ki Kashish Se,
Wo Ayenge Daude Aap Mere Ghar Kahe Bagair,
Chalo Es Velantine Par Kuch Aisa Karte Hai…
Pichle Baras Ke Sookhe Pholon Ko,
Apni Chahton Se Taza Karte Hai,
Or Phir Ajj Ke In Phoolon Se,
Un Mein Azafa Karte Hai,
Taskeen Na Ho Jis Se Wo Raaz Badal Dalo,
Jo Raaz Na Rakh Paye Hamraaz Badal Dalo,
Tum Ne Bhi Suni Hogi Badi Aam Kahawat Hai,
Anjam Ka Jo Ho Khatra Aghaz Badal Dalo,
Ab Husn Ka Rutba Aali Hai, Ab Husn Se Sehra Khaali Hai,
Chal Basti Mein Banjaara Ban, Chal Nagri Mein Saudagar Ho,
Jis Cheez Ki Tujh Ko Nisbat Hai, Jis Cheez Ki Tujh Ko Chahat Hai,
Wo Sona Hai Wo Heera Hai, Wo Maati Ho Ya Kankar Ho,
Mujh Se Rote Hain Mere Apne Kabeele Wale,
Mere Seene Main Her Ek Teer-E-Sitam Toota Hai,
Lafz-O-Maani Ke Taqazoon Se Ulaj Kar Aksar,
Mere Hathon Mera Majroh-E-Kalam Toota Hai,
Main Jab Hawa Ke Iraadon Ko Jaan Leta Hoon,
Lade Bagair Hi Phir Haar Maan Leta Hoon,
Gairon Ki Yaad Anghoote Se Aane Lagti Hai,
Main Jab Bhi Haath Mein Teer-O-Kamaan Leta Hoon,
Toote Hue Dilon Ki Dua Mere Saath Hai,
Duniya Teri Taraf Hai Khuda Mere Saath Hai,
Awaaz Ghunghroo Ki Nahi Hai To Kya Hua,
Saagar Ke Tootne Ki Sadaa Mere Saath Hai,
Apni Mohabbat Ki Nakaamiyan Kya Kahoon,
Khwaish-E-Ishq Har Kadam Mujhe Rulata Raha,
Wo Doosron Se Has-Has Ke Milte Rahe,
Meri Hai Badkismati Ashq Bahata Raha,