Na Manzilo Ki Talaash Na Khud Ka Pata Jantay Hain
Hum Awara Bu Ki Tarah Har Gali Se Gujra Kartay Hain
Ped Ki Shaakoh Pe Basera Panchiyon Ki Tarah Ek Dera Hain
Banzaraypan Ki Aadat Pairon Mein Jahan Raat Wahin Savera Hain
Teri Khamoshiyon Ka Yeh Silsila Sa Kya Hai
Aankhen Bhi Kuch Nahin Kehti
Humsey,Yeh Gila Sa Kya Hai
Tera Har Naaz Hum Uthayte Hai
Har Baat Pe Sir Jhukatey Hai
Fir Kis Baat Ka Shikwa Tujhey
Humsey, Yeh Narazagi Si Kya Hai
Naam Tera Kya Likh Du Bata
Husn Tera Kya Likh Du Bata
Likh Du Gar Shabdo Mein Jism Tera
Khuda Ka Kya Ehsaan Likh Du Bata
Tu Manzil, Tu Hi Rasta
Aur Kaafila Bhi Tu Hai
Tu Subah, Tu Hi Shaam
Aur Chaand Bhi Tu Hai
Pinay Kaa Imtihan Mat Le Aaj Humsey
Har Had Paar Karney Ki Khawhish Hai
Jaam Ki Baat Mat Karna Aaj Humsey
Ki Maikhaney Kii Aajmaish Hain Aaj Humsey
Ab Hum Gunahgaar Ban Baithey Hain
Khuda Ko Chhodd Tere Dar Baithey Hain
Jhuktha Nahin Sir Sajdey Mein Maula Ke
Ki Tere Chere Par Nazar Tikai Baithey Hain
Kya Zamaney Se Shauhrat Mili Hai Humko
Yeh Bhi Teri Hi Badaulat Mili Hai Humko
Toofano Se Ab Darr Nahin Lagta Humko
Maujon Se Itni Wehshat Mili Hai Humko
Mushkil Sabse Humne Chun Liya,
Khudkhushi Ke Tareeke Aur Bhi The,
Ishq Kiya Tujhe Khuda Banaya,
Kafir Banne Ke Tareeke Aur Bhi The,
Teri Saanson Se Khud Ko Mehkaya,
Ittar Bazaar Mein Aur Bhi The,
Honthon Pe Tera Naam Hardam,
Mala Japne Ke Tareeke Aur Bhi The,
Ab Teray Naam Ka Sadka Saki Pilatay Ja,
Jam Pe Jam Daal De,
Miakhanay Ke Maikhanay Pilatay Ja,
Hasratray Nikleyngi Bahut,
Dard Se Yun Hamari Mulakat Hui Hai
Ki Dosti Ab Dil Ke Saath Huia Hai
Ab Hamara Akela Pan Door Ho Gaya
Ki Ek Saathi Hamey Bhi Mil Gaya Hai
Khud Ko Ab Is Dard Se Abaad Kiya Hai
Jhuka Kar Sir Istkbal Kiya Hai
Jo Kamra Veerani Ne Bhar Rakha Tha
Usey Dard Ke Naam Kiya Hai