Aarzoo Hai Ek Sapne Ko Poora Karne Ki
Dekha Hai Jo Sapna Use Poora Karna Hai,
Use Behrehm Kaatil Ko Apna Banana Hai,
Dekh Ke Use Jo Mai Sab Bhoola Hua Hu,
Use Apne Ghar Ki Shobje Mujhe Banana Hai,
Aarzoo Hai Ek Sapne Ko Poora Karne Ki.
Aangan Mai Gunjege Us Ki Payal,
Kaan Mai Padenge Use Ke Kangan Ki Khan-Khan,
Kisi Saaye Ki Talash Mai Hamesha Bhatkta Raha,
Jo Bhi Mila Use Dil Se Kabool Karta Raha,
Kahta Raha Sab Ko Ki Mai Bhi Insaan Hu,
Har Koi Lakin Apni Fitrat Diklata Raha,
Kismat Bhi Na Jaane Kaise Rang Dikhati Hai
Chahte Hai Jis Ko Use Hi Door Le Jaati Hai
Lakh Koshish Karte Hai Jis Ko Paane Ki
Kismat Use Hi Kuch Pal Mai Alag Ker Deti Hai
Katal Ker Ke Sare Aam Ye Anjaan Bante Hai
Husn Ke Adayein Dikha Ke Nadaan Bante Hai
Wafao Ki Baate Jo Hamesha Karte Hai
Wahi Dil Tod Ke Mehfil Mai Muskurate Hai
Har Saksh Ke Saamne Wo Hume Ruswa Karte Rahe,
Lab Khamosh To Har Dard Hum Sine Mai Sehte Rahe,
Har Nafrat Seh Ker Bhi Hum Unhe Pyar Karte Rahe,
Dil Na Dukhayenge Kasme Wo Hume Dete Rahe,
Ruk Ruk Ke Mai Hamesha Chalta Raha
Har Sehar Mai Apne Kaatil Ko Dhundta Raha
Hua Hai Jab Se Nazron Se Ojhal Wo
Jaise Her Dua Ko Mai Taresta Raha
Hausle Khudi Ke Buland Hum Karte Rahe
Tanha Safar Hum Yun Hi Apna Kaatte Rahe
Bahut Paaya Bahut Khoya Jindgi Main Apni
Sirf Ek Sache Humsafar Ko Hamesha Talaste Rahe
Har Waqt Jin Khawaabo Ko Sanjoya
Har Waqt Jin Lamho Ko Sambhala
Aaj Har Khawaab Jhoota Sa Lagta Hai
Aaj Har Lamha Bikhra Sa Lagta Hai
Raite Ki Is Dal-Dal Mai Khud Ko
Bahut Akela Mahsoos Karta Hu
Us Ka Ahsaas To Hai Magar Khud Ko
Thaga Sa Har Pal Mahsoos Karta Hu
Ashk Jab Bhi Gire Un Ke Hi Aanchal Pe Gire
Har Ashk Ko Ponch Ke Wo Khud Ro Pade
Kehte The Hum Se Roya Na Karo
Ye Kehte-Kehte Wo Khud Ro Pade
Zindgee Pyar Ki Kabhi Poori Nahi Hoti
Raahe Mahoobat Kabhi Aasn Nahi Hoti
Mila Na Paaya Jinhe Khuda
Use Insaan Kya Milayenge