Dahshatgardi Ke Jo Muntazir Rahe Honge
Mahshar Ki Raat Mein Bhi Kaafir Rahe Honge
Shisha-E-Badan Uthaa Laaye The Baarood Bhar
Hosh-O-Hawaas Se Bekhabar Rahe Honge
Baad-E-Fanaa Aake Roye Woh Zaar Zaar
Soye Hue Zakhmon Ko Kar Gaey Woh Taar Taar
Naheman Ko Jalaana To Rivaayat Si Ho Gayi
Turbat Pe Bhi Girti Hai Ab Bijli Baar Baar
Zid Patthar Ki Zid Maujon Ki
Kis Zid Ka Hai Maan Bada
Patthar Choor Hota Nahin
Maujein Thak Thamti Nahin
Dasht-E-Tanhaai Mein Koi Gumnaam Hi Sahi
Tulu-E-Sahar Ki Koi Shaam Hi Sahi
Naklistaan Ki Ronak Mein Sab Laal-O Gauhar
Mahr-O-Maah Ke Aage Hum Naakaam Hi Sahi