Ghareebo Ko Roti Ka Pata Nahi Hain
Raeeso Ne Faaqo Ko Jana Nahi Hain
Lutaate Hai Doulat Ki Shohrat Mil Jaaye
Padous Mein Bhukmari Ka Pata Nahi Hain
Rukhsaar Unka Kaale Dil Se Sajaya Hai
Nazar-E-Bad Ka Kala Teeka Lagaaya Hai
Is Kaale Dil Se Babasta Hai Aashiqo Ki Tadap
Nazakato Ka Sabab Unki Hua Numaaya Hai
Chand Lamho Mein Wo Mere Saath Hogi
Chaand Ki Aaj Charaghon Se Mulaqat Hogi
Unki Mehfilon Mein Bhee Raha Hu Main Tanha
Tanhaiyon Ko Mujhse Kyaa Shikayat Hogi
Hamsafar Meri To Tanhai Hain
Zindagi Se Meri To Rusvaii Hain
Kyu Ilzaam De Ham Ghairo Ko
Juda Hui Meri To Parchhaii Hain
Darr Hai Zikr Unka Ghazal Mein Na Ho Jaye
Parda Unka Tauheen Ki Nazar Na Ho Jaye
Bin Qurbaani Ishq Parwaan Chadhta Nahi
Sanam Ko Bhee Ye Kash Khabar Na Ho Jaye