Khilkhilati Dhoop Mein Barsaat Si Chali Aati Ho,
Tum Din Ke Ujale Mein Chandni Raat Si Chali Aati Ho,
Mere Dil Ki Viraan Padi Sadkon Pe,
Tum Gaati-Bajaati Baaraat Si Chali Aati Ho,
Andheron Mein Jhilmilate Sitaron Si Chali Aati Ho,
Tum Patjhad Mein Baharon Si Chali Aati Ho,
Hone Hi Nahi Deti Mujhe Kabhi Tanha,
Tum Saze Hue Bazaaron Si Chali Aati Ho,
Door Kahin Registaan Mein Maine Ek Phool Ko Dekha Thaa
Pyaas To Lagi Thi Bahut Par Paani Ko Bhool Main
Us Kee Taraf Doda Thaa Kai Baar Pyaas Nee Roka
Dimaag Nee Bhi Toka Par Mein Dodta Rahun
Toone Jo Bewafai Ki Kya Hum Samajhte Nahin The,
Ye Aur Baat Thee Ki Hum Kuchh Kehte Nahin The,
Toda Mere Dil Ko Ye Samajh Mein Aata Hain,
Chhoda Kyon Apne Dil Ko Kya Hum Vahan Rehte Nahin The,
Kitab Khuli Padi Thii Mere Saamne
Main Soch Raha Tha Uske Baare Mein
Padte Padte Pata Nahin Kaab
Aa Gayee Vo Mere Khyalon Mein
Kaash Ki Aisa Ho Jaye,
Main Sochu Tujhe Aur Tu Aa Jaaye,
Ye Soch Ke Main Hairan Hun,
Main Maangu Tujhe Aur Tu Mil Jaaye,
Vo Din Bhi Ajeeb Sa Hoga,
Vo Shaam Kuch Haseen Si Hogi,
Sochta Hun Kya Hoga Dil Ka,
Jab Tu Meri Bahon Mein Hogi,
Unko Bhee Jab Apnee Kasme Apne Vaade Yaad Nahin
Hamne Bhee Unke Khuwabon Ko Sajana Chod Diya
Aate Hain Abhi Bhee Ashq In Aankhon Mein
Farq Itna Hai Humne Inko Bahana Chod Diya
Hamaare Ek Miter Ne Hamse Poocha,
Kya Ek Ladka Ladkee Dost Hote Hain,
Hamne Usse Kaha Are Pagle,
Ek Ladka Ladkee Hee To Dost Hote Hain,
Jab Tum Mujhese Door Ho Jaoge
Mujhe Tum Bahut Yaad Aaoge
Tumhaari Vo Pyaari Pyaari See Baatein
Tumhaare Saath Bitaye Din Or Raatein
Dum Todne Ko Agar Mil Jaye Teri Baahon Mein Panaah,
Meri Saansein Ho Jaye Teri Saanson Pe Fanaah,
Tu Agar Gira De Do Aansu Mere Chehre Pe,
Khuda Bhi Elaan Kar De Mujhe Be-Gunaah,
Tune To Koi Kasar Chodi Na Thi Hame Maarne Mein,
Par Pyar Karne Waale Aasani Se Marte Kahan Hain,
Shuruaat Se Katal Hi To Karte Rahe Ho Mera,
Ab Teri Kaatil Adaon Se Ham Darte Kahaan Hain,