Tu Chala Gaya Tera Wajood Bhi Gaya
Tera Khayaal Na Jaye
To Yaar ab Main Kya Karoon
Roke Rakha Hai Sailaab-E-Ashk Ab Talak
In Bheegi Palkon Mein Teri
Kitne Zakhmon Ki Nami Hai
Kitna Sannata Hai Charon Su
Ik Barf Ki Chadar Si Jami Hai
Kitne Poochnewale Log Aas Paas Hain Mere
Phir Bhi Jaane Kyun Itna Tanha Hoon Main
Kis Raftaar Se Bhaaga Yeh Waqt Saath Mere
Hosh Hi Nahin Mujh Kab Kahan Hoon Main
Tere Saath Guzare Jo Pal
Zamaana Jinhen
Daag-E-Daaman Kehta Hai
Saja Ke Rakhen Hain
Sard Jaado Ki Narm Dhoop Mein
Thithurti Thandi Teri Yaadon Ke
Jab Panne Palat Ke Dekhta Hoon
To Dard Hota Hai
Mujhko Uthane Ko To
Kayi Aayenge Magar
Mere Rone Ke Vaaste
Bus Kandha Koi Nahin
Muskuraahaton Mein
Chhupaaye Gham Maine
Dikhte Kisi Ko Na Ho
Par Andha Koi Nahin
Yun Hi dard-E-Rah Mein
Phir Pada Paaya Mera Dil
Uthaya Usko Puchkara
Jhhada-Poncha
Jin Pairon Mein Dekhi Thi Jannat Hardam
Unhi Pairon Ko Ro Ro Ke Baandha Maine
Jiske Anchal Me Chhup-2 Ke Roya Barson
Usko Ro Ro Ke Kafan Aaj Udhaaya Maine
Dosti Ka Beej Jo
Humne Boya Tha Kabhi
Usi Boodhe Darakht Ki
Ik Shaakh Hari Aaj Bhi Hai,
Kaise Kaise Mausam
Aaye Aur Chale Gaye
Tere Aane Ki Bahaar Ka
Use Intezaar Aaj Bhi Hai,