Jinhone Kabhii Nazaren Utha Ker Naa Dekha
Aaj Kaandhe Per Uthaye Jate Hain
Jinhone Do Bol Pyaar Ke Naa Bole
Aaj Aansu Bahaye Jate Hain
Banjar Dharti Shushk Mausam Tapti Dhoop
Basant Main Bhee Patjhad Kaa Ahsas Yahi To Mila Hai Usay
To Kanto Bina Banta Kya
Sahlaya Nahi Kisi Ne Pyaar Se
Kahan Rehti Ho Kidhar Se Guzarti Ho
Aay Khushi! Kya Meri Saheli Nahii Banogi
Mere Ghar Kee Bus Ekk Nishani Hain
Andhere Nukad Main Hain,Charon Taraf Virani Hain
Maut Tum Vaade Si Atal Ho Nichit Ho
Jivan Sandhya Main
Thake Haare Musafiron Ko
Maa Ban Ker Thupthupati Ho
Laakhon Tan Ret Ke Hain
Ya Bikhari Ashayen
Kantili Jhaadiyan Hain
Ya Aankhon Mein Chubhbhte Sapne
Khushbu Aur Rangon Ka Mail Hua
Khushbu Rangeen Hui
Rang Mehak Uthe Sath Nibhane Ki Baat Chali
Phul Khilane Ki Chah Uthi