Jindgi Maut Kee Aagosh Mai So Jayegi
Kwahishen Khaamosh Fijaon Mai Kho Jayegi
Mom Ke Saath Hee Ye Raat Pighal Jayegi
Subah Seene Mai Mere Talkhiyan (Kadwahat) Bo Jaayegi
Dard Jo Tumne Kabhi Mujhko Diya Le Jaa Raha Hun
Dard Ki Sarhad Kanha Tak Hai Yahi Samjha Raha Hun
Teri Yaadon Ke Ghane Jangal Mai Khud Ko Paa Raha Hun
Chupm Se Ek Lamhe Se Khud Ko Aaj Main Bahla Raha Hun
Iska Hona Hii Mohabat Kii Pahchan Hain !
Dil Main Kuch To Hain Par Fir Bhii Anjaan Hain !
Wo Agar Ho To Abaad Hain Veeraana Bhii ..
Wo Nahii Hain To Mahfil Bhii Veeraan Hain !
Bahut Se Faaslen Aise Hain Jinko Kam Nahi Karta
Main Tumko Chahta To Hun Magar Jahir Nahi Karta
Simat Jaata Hun Chahe Main Andheron Ke Shikanje Main
Tumhari Yaadon Kee Lao Ko Kabhi Maddham Nahi Karta
Tujhko Ab Sochta Hun Main To Mujhko Lagta Hai !
Ke Jaise Mere Andar Aasma Sulagta Hai !
Mujhe Aksar Tera Chahra Dikhai Deta Hai ..
Kahin Bhi Jab Koi Bachha Udaas Milta Hai !
Badi Sehmi Hui Si Ye Fiza Hai
Yanha Tanhain Bhi Gum-Gashda Hain
Badi Shidat Se Isko Katata Hun
Mohabbat Naam Kee Ye Jo Saja Hai
Meri Fariyaad Teri Juban Per Ho !
Mera Hi Naam Teri Dua Per Ho !
Jab Bhii Ghabra Ke Dekho Tum Uper..
Meri Tasveer Asma Per Ho !
Har Or Mohabbat Naam Liye Rangraliya Mania Jaati Hai
Ulfat Ko Ab Badnaam Kiye Ek Aag Bhujai Jaati Hai
Laila Majnu Kee Baaton Ko Sab Log Kahani Kahte Hain
Majnu Ko Pagal Kahte Hain Laila Bikwai Jaati Hai
Kisi Ko Pyaar Karna Koi Badi Baat Nahi
Yanha To Roj Kain Log Pyaar Karte Hain
Yanha To Roj Kain Rishtey Naye Bante Hain
Ye Ahsaas, Shiddat Ye Jajbaat Sab Baaten Hain
Aagaz Abhi Hua Bhi Na Tha Ke Anjam Ho Gaya
Rahe Wafa Pe Chalke Mai Nakam Ho Gaya
Achha Hua Jo Ishq Mai Badnaam Ho Gaya
Koi Janta Na Tha Shahar Mai, Ab Naam Ho Gaya