Main Jab Bhii Uski Yaadon Mein Kuchh Kho Sa Jaata Huun
Woh Khud Bhii Baat Kare To Bura Lage Mujhe
Woh Mera Dost Hain Saare Jahaan Ko Hain Maalooom
Kii Woh Dagaa Kare Kisi Se To Sharm Aaye Mujhe
Haar Jaane Par Bhii Hausla Kam Naa Ho
Chot Kha Ke Bhii Muskuraa Deejiye
Ghar Pahunchunga To Gathri Tatoleinge Sab Meri
Aankh Mein Chubhti Garde Safar Kaun Dekhega
Mujhko Lage Jo Chot ,To Woh Tilmila Uthe
Aisa To Maine Ekk Bhii Rishta Nahii Dekha
Zulm Unka Har Ik Gawara Hai
Hum To Bas Saadagi Se Milte Hain
Raunaken Dhoondhte Hain Chehere Par
Jab Kisi Aadami Se Milte Hain
Jugnu HIi Deewane Nikle Andhiyaara Jhutlaane Nikle
Jinko Pakda Haath Samajhkar Woh Keval Dastaane Nikle
Jhooth Ko Apne Mere Sach Ke Barabar Kar De.
Saamri Hain Tu Aaja Mujhe Pathhar Ker De
Dhoop Aur Chaanw Ke Maalik Mere Bhoodhe Suraj
Mere Saaye Ko Mere Kad Ke Baraabar Kar De
Hamne Hawa Ke Shauk Se Kholi Thi Khidkiyan
Sari Gali Kaa Shor Hamaare Ghar Mein Aa Gay
Hamaare Nagme Baraste Hain Baadalon Kii Tarah
Dilon Kii Pyaas Bujhaakar Chale Hain Hum Logon
Har Ekk Dil Mein Mohabbat Kii Roshni Hogii
Kuchh Itna Pyaar Lutakar Chale Hain Hum Dono