Aaj Phir Barso Baad Mile Ho,
Aaj Phir Wapas Jaa Rahe Ho,
Aaj Phir Tum Bahut Yaad Aa Rahe Ho,
Aaj Phir Main Ro Raha Hoon,
Aaj Phri Tumko Kho Raha Hoon,
Aaj Phir Tum Bahut Yaad Aa Rahe Ho,
Aaj Phri Kuch Dareeche Hai Palte Hai,
Aaj Phir Kuch Din Ulte Hai Maine,
Wo Tha Meri Zindagi Ka Sabse Khubsurat Khwaab,
Jise Har Pal Dekha Wo Sach Se Bhi Hasin Khwaab
Par Wo Hamare Sare Khwaab Pal Bhar Me Tod Gaya,
Loot Gaya Sab Kuch Us Khwaabko Paane Ke Liye,
Jeene Ki Aas Tum,
In Labonki Pyaas Tum,
Mere Dilki Zaminka Chand Tum,
Mera Hosh Tum,Meri Bekhudi Tum,
Koyle Se Rang Diya Kisine Aasman
Ye Hawayein Kaali Kaali Si Hai
Sannatein Khauf Gholte Hai Fiza Mein
Sulagne Lagi Kaliyan Khushbu Ki Dehek Se
Aaj Phir Badbaharan Ne Mere Kaano Mein,
Chupke Chupke Se Tere Aane Ka Puchha Mujhse,
Puchha, Sandesa Koi, Chitthi Koi Aayi Hai
Gungunate Hue Jharno Ne Zara Tham Tham Ke,
Ye Madhdham Chandni Aaj Hamein Chubhti Hai Kyon
Udaas Chaand Bebas Nazronse Hamein Takta Hai Kyon
Ek Waqt Tha Dekha Karte The Is Chand Ko Saath Saath
Aaj Kyon Tanhaiyon Ke Andheron Mein Kho Gaye Hai Kyon
Teri Bewafayi Ki Kya Misaal Doon Paas Mere Koi Lafz Nahi Hai
Rulake Meri Aatma Ko Muskurane Mein Tujhe Koi Aitraaz Nahi Hai
Har Mod Pe Thokar Kha Ke Bhi Tere Saath Chalte Gaye Ye Qadam
Pata Bhi Tha Inko Is Raah Ki Koi Manzil Koi Shaamyana Nahi Hai
Zindagi Mein To Maut Ka Manzar Dikhaya Tha Tune
Aa Ab Is Maut Mein Bhi Mujhe Maut Ka Ehsaas Dila Jaa
Bana De Apni Qabr Apne Haathon Se Aaj Tu
Ke Aaj Apna Aakhri Farz Bhi Tu Ada Kar Jaa
Aye Sanam Chahaton Ka Ye Qaafila Jaane Kis Mod Pe Le Aaya Mujhe
Har Qadam Par Thokarein Hai Ye Imtehaan Kahan Laaya Mujhe,
Ek Wo Manzar Tha Jab Teri Baahon Mein Khilte The Phool Armaano Ke,
Aaj Dilki Banjar Zameen Ne Sehraon Ka Manzar Dikhaya Mujhe,
Teri Bas Ek Chhuan Ki Talash Hai Mujhe,
Tu Mere Gam Thaam Le Bas Yehi Aas Hai Mujhe,
Sitam Zamane Ne Na Jaane Kitne Dhaa Diye,
Teri Baahon Ki Panahon Ki Talash Hai Mujhe,