Aankhein Jamakar Baithen Hain,Ab Bhii Usi Mod Par.
Jis Mod Par Kabhi Tum Chod Kar Chale Gaye The.
Ro Dete Hain Hum Kabhi Kabhi,Ab Bhii Usi Naam Par,
Jis Naam Par Kabhi Hum Muskuraya Karte The.
Zidagi Kitna Dard Sehti Hain
Dill Mein Umeed Phir Bhee Rehti Hain
Dill Ye Kehtaa Hain Kuch Nahi Hogaa
Kuch To Hogaa Umeed Kehti Hain
Tasvir-E-Karam Padh Late Hain
Aankhon Mein Sharam Padh Late Hain
Chehre Pe Mere Duniya Wale
Ab Tere Sitam Padh Late Hai
Sochta Hoon Aapka Khayaal, Kamaal Ye Kartaa Khayaal
Kamaal Ye Kartaa Khayaal, Sochta Hoon Aapka Khayaal
Har Waqt Hai Jiss Kaa Khayaal, Letaa Nahi Vo Mere Haal
Letaa Nahi Vo Mere Haal, Har Waqt Hai Jiskaa Khayaal
Mukaadar Aajmana Chahata Hu
Tere Dil Mein Ghar Banana Chahata Hu
Mein Sirf Tumko Hii Chahata Hu
Aaj Duniya Ko Batana Chahata Hu
Kiya Hai Tum Ne Hum Se Ek Waada Yaad Rakhna
Bhool Na Jana Kahin Apna Iraada Yaad Rakhna
Ab Na Humain Rulaana Tum , Ab Na Duur Jana Tum
Pehle Hi Seh Chuke Hain Dukh Itne Ziaada Yaad Rakhna
Chahat Mein Teri……. Ye Kya Kar Diya
Ye Kaisa Pyaar Hai……. Jisne Ye Sila Diya
Zindagii Ne Mujh Par Kya Sitam Kiya
Meine Tujh Ko Chaha Aur Kuch Na Kiya
Mein Aankhon Mein Aanso Chupaata Rahaa
Saamne Sab Ke Yun hi Muskuraata Rahaa
Aik Din Saahil Ke Kinaare Betha
Mein Apne Pyaar Ka Gharonaa Banaata Rahaa
Aey Sitaron Kuchh Tum Hi Mujh Sey Baat Karo…
Iss Ujray Dil Kii Faryaad Suno…
Wo Jo Mujh Sey Door Chala Gaya…
Mein Kis Sey Apney Dil Kii Baat Karoun…
Tum Bin Zindaagi Badi Aadhuri Lagati Hain
Naye Saal Kii Shaam Badi Suni Lagati Hain
Tum Kya Gaye Meri Zindaagi Se Door
Ho Gaya Hoon Main Khud Se Bada Majboor