Tum Darte Ho Jinse Wo Sangeen Nahin
Mana Waqt Ke Chehre Itne Haseen Nahin
Teri Basti Mein Jo Aagaye Rone Ko
Unke Gumon Ki Apni Koi Jameen Nahin
Aa Kar Le Koi Sanjin Jurm Hum Bhi Aaj,
Marne Ke Liye Shayad Mohabbat Kaafi Nahin,
Ruksati Mango Ab Khuda Se Jism Ki Mere,
Ke Rooh To Ab Yun Bhi Baaki Nahin,
Patthar Ko Jo Pighla De
Wo Parwana Hoon Main
Haan Tune Theek Suna Hai
Tera Deewana Hoon Main
Gumo Ko Ju Bhula De
Wo Dawai Hoon Main
Bas Ek Milne Ka Ehsaas
Na Ki Lambi Judaai Hoon Main
Usi Ko Pooja, Usi Ko Chaha, Usi Ki Ibadat Karta Raha
Main Apni Mehbooba Ko, Apna Khuda Samajhta Raha
Ke Usi Bawafa Mehbooba Ne Mere, Seene Pe Khanjar Chala Diya
Aur Jab Jee Na Bhara Lahoo Se Mere, Toh Uspar Namak Laga Diya
Janta Hai Suraj, Janta Hai Chandrma,
Jante Hai Ye Saikdron Tare
Pata Hai Ambar Ko, Pata Hai Dharti Ko,
Jante Hain Ispar Rehne Wale Sare
Ek Bas Tujhko Hi Nahin Kaha Tha,
Aaj Tujhe Bhi Batana Chahta Hoon
Jab Se Tujhe Mehsoos Kiya Hai, Bas,
Tujhko Hi Pana Chahta Hoon
Jaane Kaisa Ye Mazaak Mujhse Khuda Kar Raha Hai
Mere Zakhmon Par Hansne Ki Khata Kar Raha Hai
“Ehsaas” Kuch Toh Gunaah Kiya Hoga Tune Kabhi
Tera Rehnuma Teri Ruksati Ki Dua Kar Raha Hai
Jinki Mohabbat Ki Khatair Dil Dhadakta Tha
Meri Zindagi Jinki Mohabbat Ki Mohtaaj Hai
Keh Do Unhe Wo Meri Maut Ki Aur Dua Na Karein
Unke Chahne Wale Ki Aaj Ye Aakhri Raat Hai
Suna Hai Nazakat Mein Tu Sabse Dilnasheen Hai
Itrane Ka Fakat Ye Bahana Dekho Sahi Nahin Hai
Maana Teri Aankho Si Gehri Koi Sharaab Nahin
Ishq Ka Aaina Hu Main, Mera Bhi Koi Jawaab Nahin
Kaash Mujhe Bhi Koi Humnawan Mila Hota
To Mera Chehra Bhi Tumsa Nikhar Gaya Hota
Is Dard-E-Dil Ki Dastaan Jo Tum Sun Lete
To Tumhara Dil Bhi Tootkar Bikhar Gaya Hota
Pal Ka Hi Raha Saath Hamara
Judaai Ki Fir Hukumat Ho Gayi
Chand Sapne Aur Dheron Gam Liye
Meri Mehboba Jahaa Se Ruksat Gayi
Laal Jode Mein Dekhne Ki Hasrat Meri
Bankar Ek Adhuri Aas Reh Gayi
Sailaab The Aankhon Mein Ashko Ka Magar
Hothon Pe Pyaas Reh Gayi
Tu Sang-Dil Hai Ye Kaha Tha Dil Ne
Pathhar Bhi Hai Magar Maloom Na Tha
Wafa Ke Sadke Umar Guzaar Di Maine
Mujhe Bewafaai Ka Hunar Maloom Na Tha
Zakhm Milenge Raste Mein Socha Hi Tha
Jaanleva Hoga Safar Maloom Na Tha
Kareeb Thi Manzil Aur Hausla Bhi Tha Magar
Daudne Ka Hunar Maloom Na Tha