Beete Hue Lamhon Ke Jazbaat Pe Roye
Hum Apne Hi Unsuljhe Sawalaat Pe Roye
Ubharte Hue Armaanon Ko Dafn Kar
Kaanton Se Saji Hui Raat Pe Soye
Logon Sang Tajurba Apna Bhii Banta Jaata Hain
Duniya Kii Chahal- Pehal Mein Din Kat Jaata Hain….
Ro Lete Hain Kutch, Kutch Jam Utha Lete Hain….
Shaam Dhalte Hii Tanhayion Ko Bula Lete Hain…..
Deewano Kii Mehfil Mein Ekk Aur Deewana Aaya Hain……
Shama Jal Rahi Kahin, Jhulsa Parwana Aaya Hain……….
Kutch Maikash Jo Hosh Mein The, Uth Khada Huye…..
Behosh Jo The Socha, Ekk Aur Maikhana Aaya Hai…..
Kyun Khafa- Khafa Se Baithe Ho…
Aao, Mere Dil Ke Mehmaan Aao…
Aao, Ke Kutch Samaan Baaqi Hai…
Lautane Hi Sahi, Meri Jaan Aao…
Wo Chand Lamhe Raaton Ke…
Jab Saari Shab Main Jaagta Tha…
Mere Kaandhe Ka Sirhana Bana…
Tumhe Baahon Mein Sulata Tha…
Ek Paglii Si, Diwaani Si……
Har Rut Main Mastaani Si……
Kabhi Chaand Se Karti Baatein…..
Kabhi Man Ko Tatolti Aankhein…..
*Sahara Mein Ek Phool Ki Tarah….
Hai Vo Aab-O-Paani Si…..
Ek Pagli Si, Diwaani Si……
Kabhi Udte Parindon Ki Tarah…
Milti Hai Khule Bandon Ki Tarah….
Kadi *Zau Mein Milti Hai…..
Koi Lehar Barfaani Si…..
Ek Pagli Si, Deewaani Si……
Jisne Kabhi Kaha Apna, Khud Sei Begana Bana Diya……
Kya Ab Bhi Dil-E-Nadan Use Pyar Kiya Karta Hai…..
Jiski Har Mehfil Kabhi Mere *Shuhood Se Roshan Thi…..
Kya Ab Bhi Wo Tanhayion Ko *Sharaar Kiya Karta Hai…..
Kabhi To Lamha-E-Khushi Dikhaya Hota
Kabb Takk Yaar Tere Gumon Pe Roye Hum
Ekk Asirii Neend Mein So Jaane Do Hume
Kabb Takk Tere Pehlu Mein Aa, Soye Hum
Dekha Na Kabhi, Tujhe Chhuaa Naa Kabhi…..
Magar Mehsoos Kiya, Tujhe Har Baar Hain…..
Haan Mere Yaar, Mujhe Tera Intezaar Hain…..
Kaha Naa Tune, Maine Bhi Hothon Ko Siya….
Savallon Ne Ghera Hai
Jawabbon Ki Talash Hai
Aaine Mein Aapni Hi
Pehhchaan Ki Talash Hai
Bhari Bheed Se Kuch
Milne Ki Aas Liye
Wafa Ko Chhod
Bewafai Ki Talash Hai
Aaj Kehte Hain Tu Kya Tera Wajod Hain Kya
Tere Pyaar Se Maine Paya Hain Kya
Ye To Meri Kismat Thi Jo Pahuchi Sitaroon Tak
Tu Kya Banata Mujhetune Khud Ko Banaya Hain Kya