Kyun Yahan Har Aankh Hai Roi
Mujhae Bhi Do Jawab Koi
Jismae Na Ho Dukh Ka Ek Bhi Panna
Dikha Do Jeevan Ki Wo Kitab Koi
Zakhm Hi Zakhm Hain Is Dil Main Dikhaoon Kaise
Bahoot Pyaar Karta Hoon Tujhae Bataoon Kaise
Nahi Rehna Chahatae Tum Sath Mere
Par Tumhe Chod Kar Main Jaaoon Kaise
Aae Dil Unhe Is Tarha Se Yaad Na Kar
Ujda Hai Chaman Ise Gulistaan Na Kar
Kismat Ke Sitam Kuch Kam Nahi Hain
Ab Aur Koi Sitam Tu Izaad Na Kar
Koi Ye Kaise Bataye Ke Wo Tanha Kyu Hai
Wo Jo Apna Tha Wohi Aur Kisi Ka Kyu Hai
Yahi Duniya Hai To Aisi Ye Duniya Kyu Hai
Yahi Hota Hai To Aakhir Yehi Hota Kyu Hai
Ik Zara Haath Bada De To Pakad Le Daman
Unke Seene Main Sama Jayae Hamari Dhadkan
Itni Kurbat Hai To Fir Faasla Itna Kyon Hai
Dil-Ae-Barbad Sae Nikla Nahi Ab Tak Koi
Badnaseebe Par Meri Tum Kyun Aansoo Bahate Ho
Mere Sang Tum Aapna Jee Kyon Jalatae Ho
Kuch Na De Sakunga Tumhae
Kyon Is Khilonae Se Dil Behlatae Ho
Khushiyon Se Bhari Ye Mulaqat Nahi Hai
Tuta Hai Dil Aur Koi Baat Nahi Hai
Khamosh Hai Dil Khamosh Hain Aankhen
Baadal Hain Dil Pe Aankhon Main Barsaat Nahi Hai
Tera Pyaar Tha Mere Sath Magar Aaj Nahi Hai
Is Pyaar Mai Thi Jo Baat Wo Aaj Nahi Hai
Sath Chalne Ka Wada Kiya Tha Umar Bhar
Par Aaj Is Pal Tu Mere Sath Nahi Hai
Tune Kaha Bewafa Manzoor Hai Mujahe
Meri Wafa Ka Ye Sila Manzoor Hai Mujhae
Yaad Rakhe Gilae Shikwae Kuch Aur Na Rakha Yaad
Pyar Karne Ki Ye Ada Manzoor Hai Mujhae
Yaadoon Main Udda Le Jaati Hai Mujhko
Ye Meri Tanhai
Aur Bhi Tanha Kar Jaati Hai Mujhko
Ye Meri Tanhai
Chaha Tha Kadmon Main Tere Har Khushi Bichayengae
Socha Na Tha Hum Bhi Kabhi Yun Juda Ho Jaayengae
Aadat Ho Gai Hai Mujhae Zeenae Ki Sath Tere
Bichad Kar Tujhsae Ab Kaise Jee Payengae