Sitaron Bhari Raat Taley Bhetha Hoon Main
Ek Raah Ka Taara Milta Nahi
Ab Bhi Teri Gali Se Guzarta Hoon Main
Koi Khirki Ka Darwaza Khulata Nahi
Pinjre Ke Parindey Ka Aashiya Kya Hai
Azad Par Kare Jaha Kayam Ghar Uska Wahaa Hai
Saiyaad Guma Kar Beitha Sunhera Pinjra Banake
Rooh Ko Kab Koi Pinjra Rok Sakaa Hai
Shab Apne Uruz Par
Aur Mauj-E-Gham Mein Ghire Hum
Khalao Ki Bemiyad Sehran Mein
Falak Par Ek Tara Bhi Nahi
Aapne Tanhai Ki Aasiri Mein
Tere Yaadon Ko Dhunte Hum
Hale Zist Beyan Kare Bhi To Kisse
Aaj Koi Parchae Bhi Nahi
Firak-E-Manzil Hume Layi Hai Kahan
Ajnabiyon Ke Sheher Mein
Aazmaish Ho Rahi Hai Jeene Ke Hunar Ki
Ajnabiyon Ke Sheher Mein
Parwaaz Lene Ko Hai Betaab Mera Hunar Bhi
Fakat Ek Mauka De Gar Khudae
Ajnabiyon Ke Sheher Mein
Nabi Ko Dhunta Firata Hai Dil
Ajnabiyon Ke Sheher Mein
Kaash Tune Mujhse Fir Kabhi Mulaqat Ki Hoti
Dabe Hoton Se Sahi Fir Wahi Baat Ki Hoti
Zindagi To Kar Hi Di Thi Tere Naam
Maine Maut Bhi Tere Naam Ki Hoti
Pal Dar Pal Tere Chahat Mein Jal Raha Hun Main
Kaash Fir Wahi Barsaat Hui Hoti
Kaash Tune Mujhse Fir Kabhi Mulaqat Ki Hoti
Dabe Hoton Se Sahi Fir Wahi Baat Ki Hoti