Uthti Hui Dhool Mein Khud Ko Bhool Gaye
Badhta Raha Zamana Piche Hum Reh Gaye
Tassaur Ki Rehguzar Mein Kuch Raha Na Yaad
Tha Kuch Jo Baaki Woh Piche Bhool Gaye
Meri Khamosh Sadaon Ko Khamosh Hi Rehne Do
Zindagi Jee Na Sakaa Mai Abb Mujhko Marne Do
Baaa Hayaat Thaa Tou Jisme Faani Ko Sawaar Na Paaya
Abb Laash Ko Tou Meri Zaraa Sawarne Do
Tanha Mera Safar Hai Aur Lamba Hai Rasta
Door Hai Manzil Meri Bahot Door Hai rasta
Qamar Ki Chandni Hai Suraj Ki Raoshni Hai
Par Rahein Meri Andheri Aur Lamba Hai Raasta
Khayal Humsafar Ka Jab Hone Laga Mujhe
Mere Hi Gham Ne Bana Liya Humsafar Mujhe
Dekha Hai Ashk Har Bar Peete Huwe Tune
Ab Dekh Sar-E-Bazm Tu Rote Huwe Mujhe
Humne Aaj Gham Se Rishta Bana Liya
Khushiyon Ko Chodhkar Ise Apna Bana Liya
Veeraniyon Mein Abtak Gujari Hai Zindagi
Khamoshiyon Ko Maine Muqaddar Bana Liya
Shaam Hote Hee Kyon Diye Jal Jaate Hain
Kyon Aankhein Nam Hoti Hai Kyon Ashk Dhal Jaate Hain
Taarikiyon Ko Cheerkar Ye Lau Jagmagaati Hai
Sehar Hote Hee Kyon Shamma Dhal Jaati Hai
Zinda To Hai Hum Bhi Goya Zinda Hi Nahi Hai
Jism To Hai Zaahir Par Zinda Hi Nahi Hai
Woh Qaafla Kyon Aa Gya Ab Meri Talaash Mein
Dhondhte Ho Kya Use Jo Zinda Hi Nahi Hai
Kuch To Duniyan Ki Inayaat Ne Rone Na Diya
Aur Kuch Talkhiye Halat Ne Rone Na Diya
Hum To Samjhe The Bahaar Banke Aaye Hai Khushi
Mili Khushi To Humein Khusi Ne Bhi Rone Na Diya
Khuda Rakh Zinda Tab Tak Mujhe
Ki Ho Jaye Armaan Pure Mere
Gar Maut Aajaye Phir Bhi Meri
Sawar Jaye Naseeb Rakibo Ki Mere
Jab Raoshan Sitara Meri Kismat Mein Nahi Hai
Phir Duniyan Mein Jeene Ki Tamanna Bhi Nahi Hai
Aauro Ko Ata Kar Diya Chand Ka Ujaala
Jholi Mein Meri Raat Ke Jugnu Bhi Nahi Hai