Zara Si Baat Pe Saghar Ko Tor Aaya Hai
Dil-E-Tabaah Ne Bhi Kya Mizaj Paya Hai
Guzer Gaya Hai Nazer Se Kisi Sharer Ki Tareh
Abhi To Dil Usay Pehchaan Bhi Na Paya Hai
Mainey Koi Baat Kahi Hai Barsoun Baad
Apni Hi Aawaaz Suni Hai Barsoun Baad
Tanhai Ke Jungal Mein Ik Aiysi Raat
Mujhko Koi Shakel Dikhi Hai Barsoun Baad
Kaisa Dhuwan Dhuwan Sa Ura Ja Raha Hoon Main
Duniya Pe Asman Ki Trah Chaa Raha Hoon Main
Ik Din Balandiyon Se Main Dekhoon Ga Ye Zameen
Jeene Ki Arzoo Main Mara Jaa Raha Hoon Main
Dharti Se Aasman Ko Jo Naap Raha Hai
Ho Kar Khara Zameen Pe Khud Kanp Raha Hai
Aghoosh Main Lipta Hey Naye Saal Ka Manzar
Hoonton Pe Tabasum Hai Jigar Kanp Raha Hai
Kiya Hai Azm To Usne Tujhe Kuchalne Ka
Sanbhal Bhi Ja Ke Abhi Waqt Hai Sanbhalne Ka
Badal Hi Jayega Ik Din Mijaaz-E-Mosam Bhi
Mager Yeh Kufr Ka Mosam Nahi Badelga Ka
Bas Yehi Ik Khayal-E-Haseen Aa Raha Hai
Ke Shayed Koi Door Se Aa Raha Hai
Kaise Thame Ga Ye Ashkon Ka Toofan
Dilbari Der Say Mujhko Behla Rahahay
Ek Hi Dherti Par Karte Hain Dono Rain Basera Bhi
Neel Gagen Ke Saye Tale Ghar Tera Bhi Ghar Mera Bhi
Rang-O-Nasl Ka Jhagra Kaisa Kumba Ik Qabila Ik
Tere Khun Ka Lal Hai Rang, Vaisa Hi Rang Mera Bhi
Yeh Cha,Haty Hain Derd Ko Ik Naam Naya Dein
Ro Ro Ke Thak Gaye Hain Unhain Kaam Naya Dein
Nakamiyon Ki Dal Main Kahin Kho Na Jain Woh
Dain Hosla Naya Unhain Ik Jaam Naya Dain