Aaj Ki Raat Bahut Udaas
Mehsoos Karta Hu
Bus Tera Ehsaas.
Tu Hai Mere Aas Paas
Na!Gussa Chahiye, Na!Takrarr Chahiye
Bus Teri Pyar Bhari Ek Nazar Chahiye
Aur Mujhe Tujhse Kuch Nahi Chahiye
Na! Dhan Chahiye,Na! Doulat Chahiye
Apni Daastan Ab Kise Sunayen
Ji Karta Hai Apne Me Gungunaye
Kitne Akele Aur Tanha Ho Gaye Hai Hum
Aa Meri Tanhai Ek Nai Duniya Banaye
Ae Meri Zindgi Gale Laga Le, Ki Abhi Marne Ka Mann Nahi
Tu Agar Saath Rahe Mere, To Marne Ka Bhi Ghum Nahi
Koshish To Bahut Ki, Humne Logo Ko Samjhane Ki
Lekin Kya Kare ,Unke Mukaddar Me Hi Dum Nahi
Tere Aane Ki Arzu Bahut Hai,
Aankho Ne Nahi Dekha..
Yu Hatho Ki Lakiro Me Aana Hi Bahut Hai.
Paane Ki Pyaas Bahut Hai,Kisi Ne Nahi Dekha…
Aansu Banke Tapakna Hi Bahut Hai…
” Log Jaane Kya Kya Paane Ko Taraste Hai…
Hum Aise Baadal Hai Jo Barasne Ko Taraste Hai..
Log Jyada Paane Ko Kaha Kaha Bhatakte Hai…
Hum Apna Sab Kuch Lutane Ko Sar Patakte Hai…
Lamha-Lamha Mili Hai Har Lamha Jindgi Hai
Bahut Pyasa Hu In Lamho Ko Peene Do
Ek Din Aisa Hi Kuch Hua Tha
Jab Maine Tujhko Chhua Tha
Dil Itna Beqarar Kyu Hai
Nazar Mein Intezaar Kyu Hai…
Kya Tumne Bhi Tadapkar Dekha Hai Dosto
Pyaar Mein Inkaar Kyu Hai…
Dil Mera Nadaan Kyu Hai…
Ehsaas Pareshaan Kyu Hai..
Kya Tumne Bhi Sochkar Dekha Hai Dosto
Pyaar Itna Meharbaan Kyu Hai..
Dil Ke Sune Ghar Mein Ek Dastak Sunai Di
Idhar-Udhar Dekha Per Koi Na Surat Dikhai Di
Fir Wahi Aawaj Ek Bar Fir Sunai Di
Mere Bolne Par Meri Gunj Hee Mujhko Sunai Di