Apni Muhabbat Ko Tere Dil Ki Gehraaiyon Tak Pahunchaana Chahti Hun,
Tere Har Khayal Ka Aghaaz Ban Na Chahti Hun,
Doori Na Rahe Koi Tere Mere Darmiyaan,
Tere Jism Ke Raom-Roam Mai Samajana Chahti Hun,
Ekk Naadaani Karke Hum Bahut Roye,
Haan,Teri Arzu Karke Hum Bahut Roye,
Kya Kya Sapne Sajaye The Pyaar Ke,
Unhe Choor Hota Dekh Hum Bahut Roye,
Tere Wade Par Aitbaar Nahi Karte,
Gar Hum Tujhse Pyaar Nahi Karte,
Tu Ane Ko Kehta To Ik Dafa,
Bure To Tab Hote Jab Tera Intzaar Nahi Karte.
Hasin Khabon Ke Mehal Banane Mai Rakh Kya Hai
Ke Inhe Choor Hota Dekhne Ke Siwa Mila Kya Hai,
Kanton Se Dosti Karna Sikhliya Humne,
Ke Pal Bhar Ki Khusbu Ke Siwa Phulon Ne Diya Kya Hai,
Aa Tere Ashkon Ko Apni Aankhon Mai Utardun
Teri Zindagi Ko Apni Khushiyon Se Sawanrdun,
Na Rahe Koi Gila Tujhe Mujh Se Kabhie,
Teri Chahat Ka Tujhe Aisa Uphardun,
Dil Mai Tere Naam Ki
Chahat Chhupa Ke Rakhi Thi
Ankho Mai Tere Naam Ke
Ansoo Chhupa Ke Rakhe The
Yeh Mausam-E-Bahar Hai Patjhar Ke Samaan Tum Bin,
Koi Shey Nahi Lagti Khushnuma Tum Bin,
Maayusiyon Ne Kar Rakha Hai Basera Yahan,
Na Aaye Muskuraana Khushi Mai Bhi Tum Bin,
Wo Apne Hi The Shayad Jo Begaane Ban Gaye,
Nanhi-C Kahani Ke Kitne Afsaane Ban Gaye
Jana Tha Aur Samjha Tha Jinhe,
Lamhe Zindagi Ke Jane Kyu Anjaane Ban Gaye
Tere Wajood Ki Maujoodgi Mehsoos Hone Lagi Hai,
Tere Aane Ki Khabar Sunke Mausam-E-Bahaar Urooj Ko Chadi Hai,
Apni Khushi Ki Intehaa Kya Bataye Tumhe,
In Aankhon Ki Nami Mai Bhi Muskuraahat Chalakne Lagi Hai,
Khush Rang-O-Purkashish Woh Raat Hogi,
Raat Jaise Taaron Ki Baaraat Hogi,
Hoga Khatmaa Mere Armaano Ka Us Din,
Poori Teri Khuwahishaat Hogi,