Mohabbt Ek Haqeeqat Hai
Fasana Kyon Banate Ho
Ise Jhooti Bana Kar Tum
Kahani Kyon Sunate Ho
Woh Qurbani Jo Ek Doojay
Kee Khaatir Hans Kay Detay Hain
Tum Is Such Ko Zamanay Kee
Nazr Say Kyon Chhupatay Ho
Raaton Ko Uth Uth Kar Jinke Liye Rote Hain
Aa Jee Raaton Ko Uth Uth Kar jinke Liye Rote Hain
Wo Aapni Makanon Mein Aaram Se Sote Hain
Kuch Log Zamane Mein Aise Bhee Tou Hote Hain
Khawab Dareechay Khul Jaaenge
Hum Tum Dono Mil Jaaenge
Pyaar Ke Jitne Geet Bane The
Ab Woh Saare Sur Gaaenge
Aaj Mujhko Aazma Kar Dekh Le
Koi Bhi Mushkil Saja Kar Dekh Le
Mout Ko Ab Zindgi Kehta Hun Mai
Aa Mujhe Suli Charha Kar Dekh Le
Mujhe Khaber Bhi Nahi Or Tujhe Pata Bhi Nahi
Hua Hai Aisa Kuchh Ke Jaise Kuchh Hua Hi Nahi
Tu Meri Aankhon Mein Sapno Mein Bus Tu Hi Tu Hai
Or Such Yeh Hai Ke Tu Ne Mujhe Chhuwa Hi Nahi
Zindgi Mein Mere Kiran Aayi
Kai Muddat Ke Baad Jaane Jaa,N
Aaj Ek Khushyon Ki Milan Aayi
Hai Basar Mera Kaanton Pe Magar
Ek Arz Hai Janab Se Hum Aap Se Ishq Farmaate Hain
Hum Khuwaab Mein Aap Se Jaane Jaa Aksur Milne Ko Aate Hain
Khirki Pe Khari Hokar Jub Aap Apni Zulfen Lehraati Hain
Hum In Zulfon Ki Lehron Mai Ghote Pe Ghota Khaate Hain
Barbaad Mohabbat Ka,Jab Haal Suna Hoga,
Dil Todne Wale Ka, Kyaa Haal Huwa Hoga,
Nafrat Hi Sahi Dil Mein,Lekin Teri Mehfil Mein,
Ek Mere Na Hone Se,Toofan Uttha Hoga,
Agar Waqt Itna Beh-Raham Nahi Hota
Toh Mere Haath Main Kalam Nahi Hota,
Agar Tuh Bewafa Nahi Hoti
Toh Meri Zindagi Main Yeh Dard Nahi Hota,
Hum Yunhi Behkhudi Main Dil Ko Yeh Saja Detein Hai,
Likhtey Hai Tera Naam Aur Likhar Mita Detein Hai,
Zikr Hota Hai Jabhi Zamaney Main Nakaam Mohabbat Ka,
Log Haanstey Hain Aur Mera Naam Bata Detein Hai.