Gham-E-Zindagi Ki Shama Bujhayga Koi
Ehsas-E Mohabbat Ko Dil Me Jagayega Koi
Aankhen Band Karoge To Yaad Aayega Koi
Bazm-E-Raat Ke Sitaron Me Saja Kar
Chandni Ke Chalakte Paimano Me Mila Kar
Jo Rakhta Hai Tuhe Dil Me Chhupa Kar
Palken Jhukata Bhi Nahi
Nazren Hatata Bhi Nahi
Gar Tere Aane Ka Mujhe
Kuchh Darja Bhi Ishara Hota
Theharo Magar Ruko Nahi.N Tum Thak Ke Kaam Se
Zinda Her Aik Cheez Hai Koshish-E-Natamaam Se
Kuchh Josh Ho Junu.N Ho Ho Jeetane Ki Zidd
Dil Main Utthe Ubaal Sa Manzil Ke Naam Se
Me Jo Kehta Hun To Ye Aadat Hai Meri
Tum Jo Kehdo To Nawazish Hogi
Baad-E-Arz Sukun-E-Dil Ki
Dekhna Phir Yahi Khwahish Hogi
Tu Rehti Hai Is Tarha Band Nazron Ke Khwaab Me
Chehra Chhupa Ho Jaise Hasin Koi Hijab Me
Khud Se Tujhe Wabasta Rakha Hai Kaise Sun
Maikash Sharab Me Jaise Khushbu Gulab Me
Teri Ulfat Me Is Qadar Giraftar Hun
Tere Na Hone Par Bhi Tera Ehsas Hota Hai
Me Dunia Se Dur Hota Hun Jis Ghari
Tera Khayal Us Waqt Bhi Mere Paas Hota Hai
Roz Khwaabon Me Mere Aate Ho Tum,
Ashkon Me Hume Bhigo Jaate Ho Tum.
Wafa Ke Waade Kiye, Jafa Ka Iraada Tha,
Rang Naye Badal Kar Dikhaate Ho Tum.
Jeevan Ek Pyaas, Pyaar Hai Saagar,
Samandar Gehra, Pyaas Anant.
Pal Bhar Ka Hai Jeena Mera,
Jeene Ki Hai Aas Anant
Ye Chakravyoh Hai Un Baaton Ka
Un Yaadon Ka Jisme Meri Jaan Phasi Hai
Ek Raah Guzri Thi Mere Kareeb Se
Magar Wo Raah Bhi Ab Kho Rahi Kahin
Tufan Kar Raha Thaa Meri Azm Ka Tawaaf
Duniya Samajh Rahi Thi Ke Kashti Bhanwar Mein Hai
Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hun
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye