Guftgu Karna Kisi Ke Baare Mein Buri Baat Nahi Hai,
Magar Humse Naam Jodoge Tumhari Aukaat Nahi Hai,
Maana Ki Humein Khwaabon Mein Tum Roz Dekhte Ho,
Are Nadaani Chhodo, Ye Koi Mulakaat Nahi Hai,
Noor-E-Chand Hai Aaftaab Hai, Uska Husn To Lajawab Hai,
Jinke Deed Ko Tarasti Hai Hamari Nigahein, Wo Pari Hai Ya Mallika-E-Shabab Hai,
Unki Julfein Kaali Raat Ki Tarah, Uljho To Ek Khwab Hai,
Jheel Si Hain Nigahein Unki, Gehrai Ya Khuda Be Hisaab Hai,
Ishq Mein Humein Wo Mukaam Mila Hai, Pairo Tale Humein Aasmaan Mila Hai,
Ek Ajab Si Chamak Hai Unki Aakhon Mein, Insaan Ke Roop Mein Bhagwan Mila Hai,
Unke Honth Bade Hi Pyare, Un Honthon Se Humein Ek Naam Mila Hai,
Hum To Gumnaami Ke Andheron Mein Khoye The Kahi, Unki Wajah Se Humein Ek Pehchaan Mila Hai,
Kabhi Samandar To Kabhi Parvaton Se Ghuzarta Hun,
Kabhi Mohabbat To Kabhi Nafraton Se Ghuzarta Hun,
Aag Se Khelna To Jaise Shauk Hai Hamaara,
Jalaa Hun Fir Bhi Unhi Harkaton Se Ghuzarta Hun.
Kya Khata Hui Jo Itna Naraz Ho, Kabhi Dur Nahi Ho Sakte Hardam Paas Ho,
Kabhi Rutha Nahi Karte Kisi Aise Se, Jiske Dil Ke Bas Tum Hi Paas Ho.
Maana Main Kuchh Bhi Nahi, Par Tum To Mere Sartaaz Ho,
Udunga Kaise Main Manjil Ki Taraf, Tum Hi To Mere Parwaaz Ho.
Kabhi Socha Nahi Tha Aisa Bhi Hoga,
Aap Jaisa Koi Mera Bhi Hoga,
Yakin Nahi Hota Kismat Par Apne,
Lagta Hai Shayad Koi Khwab Hi Hoga.
Shukraguzar Hun Tahe Dil Se Khuda Ka,
Fursat Mein Usne Tumhe Sanwara Hi Hoga,
Nashilin Aakhen, Rasile Honth, Reshmi Julfen Kya Kahe,
Khuda Bhi Us Lamha Husn Ka Mara Hi Hoga.
“Kaise Kahun Mere Liye Kya Ho Tum,
Jo Kiya Hai Khuda Ne Manjur Wo Dua Ho Tum.
Registan Mein Paani Ki Ummid, Chand Ki Chamak Husn Ka Haya Ho Tum,
Sanwari Hai Aapne Meri Jindagi Kuchh Is Kadar, Mariz-E-Ishq Ki Jindagi Ka Dawa Ho Tum.