Zindagi Ki Ek Aur Shaam Akele Kat Gayi
Main Khoya Raha Un Lamho Mein Jinhe Meri Zarurat Nahi
Aasra Nahi Raha Ab Mohabbat Ka Meri Zindagi Mein,
Jiske Liye Jee Rahe The Woh Kisi Aur Ki Ho Gayi
Main Raahi Akela Tha Khushiyon Ki Talaash Mein,
Na Jist Koi Saath Mere Is Kaainat Mein,
Dar Dar Raha Bhatakta Main Kai Raaston Par,
Jo Bhi Mile The Masroof Apni Hi Talaash Mein,
Woh Shaksiyat Us Shaks Ki Azeem Hoti Hai,
Jo Kuch Likhjata Ho Aur Baat Kuch Kahi Hoti Hai,
Bohot Hogaya Aj Is Kadar Aise Jeena,
Main Kuch Na Bhi Kahu To Baat Kuch Aur Hoti Hai,
Aye Mohabbat Ye Kya Hua Ke Phir Se Mohabbat Ho Gayi,
Humein Jisne Thukra Diya Phir Usse Mohabbat Ho Gayi,
Usne Na Kuch Suna Humse Na Hi Kuch Kehne Diya,
Uski Naarazgi Se Aur Khamoshi Se Mohabbat Ho Gayi,
Falak Se Chaand Taare Tod Laaun To Kya Baat Ho,
Tum Mujhe Dekh Kar Muskurao To Kya Baat Ho,
Ye Baat Maine Kabhi Kahi Hi Nahi Kisi Se Ab Talak,
Tum Ye Bina Kahe Hi Samajh Jao To Kya Baat Ho,
Humne Tumse Pyar Kiya,
Thoda Nahi, Beshumaar Kiya,
Dil Na Lagaya Humne,
Maano Dard Se Karaar Kiya,
Kitne Gham Hai Sine Mein Aansouo Se Pocho Zara
Kitne Akele Aaj Hum Hai Aarzo Se Pocho Zara
Cheer Ke Kaleja Fat Gaya Dard Ki Awaaz Se
Toot Ke Ro Raha Tha Aaj Dil Kis Ke Waste
Khwaishon Ko Jalati Kabhi, Kabhi Bujhati Hai,
Ek Umeed Hi To Hai Jo Aage Badna Sikhati Hai,
Mohabbat Mein Kabhi Jo Tum Khao Thokar Kisi Ki,
Sacchi Agar Ho Mohabbat To Bas Umeed Kaam Aati Hai,
Kuch Shikayatein Baaki Hai Dil Mein,
Dil Tootne Ke Is Haadsat Ke Baad,
Khabar Teri Yun Aati Rehti Hai Har Dum,
Kabhi Tere Aane Se Pehle Kabhi Tere Jaane Ke Baad
Akele Hi Sahi Hum Reh Gaye Mohabbat Ka Inaam Hai,
Karti Thi Kabhi Woh Bhi Humse Uska Ehteraam Hai
Paas Aaker Jaane Waale Khush Nazar Aa Rahe Hai,
Unki Mohabbat Ki Aaj Chaaro Aur Daastan Aam Hai