Chaloo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jayein Ham Donoon
Na Main Tum Say Koi Ummeed Rakhhoon Dil Nawazee Ki
Na Tum Mere Taraf Dekhoo Ghalat Andaaz Nazroon Se
Na Meray Dil Ki Dharkan Larkhharay Tere Batoon Se
Yun Shabe Hijraan Guzar Jayegi
Raat Phir Sarii Aankhoon Mein Jayegi
Aate Aate Ayega Dil Ko Qaraar
Jate Jate Beqarari Jayegi
Mera Dil Hai Tumhara Tu Tumhara Hi Rahay Ga
Tera Tha Intazar Tumhara Hi Rahay Ga
Yah Aankhain Faqt Teri Hi Rahoon Pay Lagi Hain
Iss Dil Ko Sanam Tera Sahra Hi Rahay Ga
Apnay Ehsaas Ki Shama Ko Jalaye Hue Rakhna
Aik Dard Sa Seeney Mein Jagay Hue Rakhna
Aas Paas Bikhrana Apnay Yaadoon Key Moti
Maazi Key Sab Kirdaroon Ko Bulay Hue Rakhna
Har Ghari Yaad Teri Dil Se Lagi Ho Jaisey
Teri Khushboo Meri Saansoon Mein Basi Ho Jaisay
Yun Hijr Mein Tere Din Raat Guzarey Humne
Umar Taptey Hue Sehra Mein Kati Ho Jaisay
Yeh Judai Apni Aarzi Hai,
Na Dil Mein Is Ka Malaal Rakhna
Hamari Aankhoon Ne Jo Mil Ke Sapne Dekhay Hain
Woh Sare Sapne Tum Sambhal Ke Rakhna
Kitna Mushkil Hai Zindagi Karna
Jis Tarah Tujh Se Dosti Karna
Aik Kahani Aur Na Ban Jaye
Tum Zara Baat Sarsari Karna
Khoya Rahta Hoon Jahan Wo Tum Ho Shayad,
Tamanna Hai Meri Jahan Wo Tum Ho Shayad,
Anjaan Hoon Ab Khud Se Hi Main,
Pahchan Hai Meri Jahan Wo Tum Ho Shayad,
Apney Aana Ke Khudaa Ko Manaaney Ki Khaatir
Wo Khafaa Ho Gaya Mujhey Sataaney Ki Khaatir
Mein Ney Kaha Waqt Ki Thokar Sey Bachna Zaraa
Kehney Laga Tum Na Aana Mujhey Uthaney Ki Khaatir
Main Bhi Kitni Pagal Hoon Na
Sang Hawa Ke Urna Chahoo.N
Titli Ban Kar Nagri Nagri
Gulshan Gulshan Phirna Chahoo.N
Phooloo.N Ke Sab Rang Chura Kar
Chunri Apni Rangna Chahoo.N
Main Bhi Kitni Pagal Hoon Na!
Chandni Shab Ko Khunak Hawa Main