Mujhe Ruswa Kiya Usne Is Qadar Ke Maine Jina Chud Diya
Na Jane Kis Ka Haath Tham Liya Usne Maine Maut Se Nata Jod Liya
Kambaqath Maut Bhi Ahesta Ahesta Tadpati Hai
Har Shaam Gale Laga Ke Zinda Chud Jati Hai
Maine Ne Bhi Kabhi Kissi Se Pyaar Kiya Tha
Apna Sub Khuch Usper Waar Diya Tha
Chup – Chup Kar Uska Deedar Kiya Tha
Han Maine Bhi Kabhi Pyaar Kiya Tha
Hum Bure Agar To Bure Hi Bhale
Accha Banne Ka Koi Irada Nahi
Saath Nibhna Hai Agar To Nibh Jayega
Warna Saath Nibhane Ka Koi Irada Nahi
Ruh Ka Ruq Udher Jism Ka Ruq Idhar
Ab Ye Dono Milen To Milen Kis Taraha
Ruh Se Jism Tak Jism Se Ruh Tak
Koi Bhi Raasta Sidha Sadha Nahi
Main Jis Ke Dil Ki Kitab Banta
Main Jis Ki Chahat Ka Khawaab Banta
Main Hijar Mosam Ki Lambi Raaton Mein Yaad Ban Kar Azaab Banta
Koi To Hota
Jo Meri Khwahish Mein Uth Kar Raaton Ko Khoob Rota
Dukhon Ki Chadar Lapait Kar Hajoom Duniya Say Door Hota
Main Rooth Jaata Manata Mujh Ko Kay Chahe Mera Kasoor Hota
Koi To Hota
Ya Khuda Aaj Tujhe Mujh Se Eak Wada Karna Hoga
Agle Janam Me Saba Ko Qadeer Aur Qadeer Ko Saba Karna Hoga
Tab Usse Pata Chalega Bewafa-E- Ki Tadap Kya Hoti Hai
Zindagi Se Toot Ke Jine Wali Zindagi Kya Hoti Hai
Meri Har Gazal Tere Naam Kardonga
Zamane Mein Tujhko Bhi Badnaam Kardonga
Na Ayega Agar Tu Laut Kar To Kasamse
Main Apni Har Shaam Maikade Ke Naam Kardonga
Kabhi Kabhi Ratoon Mein Jagna Acha Lagta Hai
Unki Yaad Aati Hai To Maut Ka Samna Lagta Hai
Wo Bhool Gaye Har Wo Baat Jo Ki Thi Hum Se
Hume Aaj Bhi Un Baaton Ko Sunna Aur Sunana Accha Lagta Hai
Mera Ek Sanam Tha Bada Berahem Tha
Wo Natkhat Bhi Tha Wo Qamush Bhi Tha
Wo Hasta Bhi Tha Hasta Bhi Tha
Sitamgar Gar Bhi Tha Rahem Dil Bhi Tha
Wo Apnata Bhi Thukrata Bhi Tha
Use Iqrar Bhi Tha Inkaar Bhi Tha
Nazren Milata Bhi Tha Churata Bhi Tha
Wo Masoom Bhi Tha Qatil Bhi Tha
Wo Mera Qatal Kardeta To Accha Tha
Ye Duniya Se Juda Kardeta To Accha Tha
Meri Sansoon Ko Rok Deta To Accha Tha
Zinda Hu Kyu Main Sunchta Hon Agar Marta To Accha Tha
Wo Mera Qatal Kardeta To Accha Tha
Ye Zindagi Ka Khel Qatam Hota To Accha Tha
Ye Sunjug Toot Jata To Accha Tha
Jivan Ka Dhaga Toot Jata To Accha Tha
Tu Dekhlena Mera Anjaam Tere Agaaz Se Acha Hoga
Mera Iqrar Tere Inkaar Acha Hoga
Mere Ansoon Teri Muskarath Se Ache Honge
Meri Tanha-E-Yan Teri Mahefilon Se Achi Hongi
Meri Barbadi Teri Tariqi Se Achi Hogi
Meri Ghazal Teri Shayari Se Achi Hogi
Meri Maut Teri Zindagi Se Achi Hogi
Tu Dekhlena Mera Anjaam Tere Agaaz Se Acha Hoga