Bin Tere Ab Koi Chahat Nahi,
Zindagi Ki Bhi Koi Khwahish Nahi,
Tum Nahi The To Zindagi Main Kuch Kami Thi,
Ab Hoker Bhi Tum Mere Nahi,
Hamare Koshishen Naakaam Isliye Bhi Hai
Ke Kismat Ka Badal Na Khuda Ke Haat Mein Hai
Ajeeb Rang Mein Guzri Hai Zindagi Apni
Dilon Pe Raaj Kiya, Phir Bhi Pyar Ko Tarse.
Kuch Panno Ko Chood Ke Ab Mujhko Likhna Hoga ,
Yakin Hai Mujko Ki, Tumhe Wapas Aana Hoga ,
Likhunga Mein Apni Baatein Panno Par Hi Saari,
Aakar Tujhko Meri Batein Isi Panno Se Padna Hoga .
Kaisi Ye Talash Hai
Na Manzil Ka Pata Hai
Na Karvan Koi Saath Hai
Wo Mera Aks Na Jane Kahan Khoya Hai
Anaajo Ke Dher Mein Bhukha Betha Hoon Mein
Bhara Hain Pet Magar Bhukha Betha Hoon Mein
Zanazo Ke Meme Mein Bheed Hain Magar,
Begunah Lashon Ka Bhukha Betha Hoon Mein
Samaj Ko Bura Hamne Hi Banaya Dosto,
Aayina Dusro Ko Hi Dikhaya Dosto,
Jana Tha Manzil-E-Raah Par Muddato Se,
Khud Bethe Sabko Sath Bithaya Dosto,
Maafi Ke Kabil Nahi Ye Galtiya,
Tab Bhi Ho Rahi Galtiyo Pe Galtiya.
Mouj Ki Dasyavali Lagti To Hai Par,
Pidhiyo Ko Sehni Hogi Ye Galtiya.
Rehne Walo Se Nahi Jane Walo Se Puchho Ki,
Zindagi Kya Cheez Hoti Hai,
Pane Walo Se Nahi Khone Walo Se Puchho Ki,
Izzazat Kya Cheez Hoti Hai,
Zarron Mein Rah Gujarke Chamak Chhod Jaunga,
Mein Apni Yaadgar Gazal Chhod Chaunga,
Khamoshi Ki Mout Pasand Nahi Mujhe,
Shisha Hun Tutakar Bhi Khanak Chhod Jaunga,
Ghar Ke Bahar Wo Nakab Mein Nikli,
Sari Gali Unki Fikar Mein Nikli,
Wo Inkar Karti Thi Hamari Mohabbat Se,
Aur Hamari Hi Tasweer Unki Kitab Se Nikli