Yunhi Do Pal Sahi Ghamgeen Dil Ko Shad Kerte Hain
Ameer-E-Shehar Ke Aage Koi Faryad Kerte Hain
Thikana Dhundte Hain Ab Kisi Ujre Hue Dil Main
Chalo Aao Koi Veeran Ghar Aabad Kertay Hain
Kisi Ki Bewafai Bais-E-Herat Nahi Hoti
Zara Sa Dil To Dukhta Hai Magar Shidat Nahi Hoti
Bohat Khud Ko Jalata Hoon Ye Barson Ki Riazat Hai
Mire Andar Ki Lekin Door Ye Zulmat Nahin Hoti
Chura Laya Hoon Khud Ko Apna Saya Chor Aaya Hoon
Main Us Ke Aaine Main Apna Chehra Chor Aaya Hoon
Basa Le Aankh Main Ya Aag Main Is Ko Jala Dale
Main Us Ki Dairy Main Eik Sapna Chor Aaya Hoon