Wo Dour Kuchh Aur Tha Jab Ham Teri Mohabbat Mein Likhte The,
Ishq-E-Junoon Sar Pe Tha Shayrana Andaaz Hum Bhi Rakhte The,
Wo Dour Kuchh Aur Tha…
Aaj Muddat Ke Baad Teri Phir Yaad Aayi, Likhne Ka Man Hua Maine Phir Kalam Uthaai,
Par Na Jane Kyon Kalam Ki Syahi Mein Ashq Nazar Aaye, Guzre Zamaane Ke Wo Aks Nazar Aaye,
Wo Dour Kuchh Aur Tha…
Na Chahkar Bhi Likhte Hue Ro Raha Tha, Apni Nazm Ke Alfaaz Kho Raha Tha,
Wo Duniya Ki Wahshat Tujhe Khone Ki Dahshat, Meri Aashiqui Pe Haavi Thi Teri Shohrat,
Wo Dour Kuchh Aur Tha..
Likhte Hue Phir Meri Ungliyaan Kanp Kanpaayi, Kone Mein Rakhi Teri Tasveer Nazar Aayi,
Yeh Dil Bhi Toota Wo Khawaab Bhi Toota, Duniya To Door Mera Khuda Bhi Mujhse Rootha,
Wo Dour Kuchh Aur Tha…
Likhte Hue Bhul Gaye Ki Shaam Dhal Aayi Hai, Humse Milne Ab Shab-E-Tanhaayi Aayi Hai,
Meri Chahtein Meri Khawaishein Sab Palkon Se Bah Gaye “Armaan” Jo Mere Dil Mein The Dil Mein Hi Rah Gaye.
Wo Dour Kuchh Aur Tha…
By Arjun Armaan
More Shayari by Arjun Armaanवो दौर कुछ और था जब हम तेरी मोहब्बत में लिखते थे,
इश्क-ए-जूनून सर पे था शायराना अंदाज़ हम भी रखते थे,
वो दौर कुछ और था...
आज मुद्दत के बाद तेरी फिर याद आई, लिखने का मन हुआ मैंने फिर कलम उठाई,
पर ना जाने क्यों कलम की स्याही में अश्क नज़र आये, गुज़रे ज़माने के वो अक्स नज़र आये,
वो दौर कुछ और था...
ना चाहकर भी लिखते हुए रो रहा था, अपनी नज़्म के अलफ़ाज़ खो रहा था,
वो दुनिया की वाहशत तुझे खोने की दहशत, मेरी आशिकी पे हावी थी तेरी शोहरत,
वो दौर कुछ और था..
लिखते हुए फिर मेरी उंगलियाँ कांप कंपाई, कोने में रखी तेरी तस्वीर नज़र आई,
ये दिल भी टूटा वो खवाब भी टूटा, दुनिया तो दूर मेरा खुदा भी मुझसे रूठा,
वो दौर कुछ और था...
लिखते हुए भूल गए की शाम ढल आई है, हमसे मिलने अब शब्-ए-तन्हाई आई है,
मेरी चाहतें मेरी खवाइशे सब पलकों से बह गए "अरमान" जो मेरे दिल में थे दिल में ही रह गए।
वो दौर कुछ और था...
too good lines (Y)