Mujhe Wo Khat Likhta Hai Magar Pata Nahi Deta,
Is Tarah Taqleef Koi Kabhi Doosra Nahi Deta,
Mere Dil Mein Rehati Hai Gam Ki Ek Chingari,
Main Jaise Ise Nikalne Ka Rasta Nahi Deta,
Izhaar Pe Nigahein Churana To Ada Hai Unki,
Apne Khayalaton Ka Wah Koi Ishara Nahi Deta,
Sukoon Ko Tarsta Hai Mera Dil Is Tanhai Mein,
Wo Mujhe Apne Mohabbat Ka Saya Nahi Deta,
Tanhai Ke Sitam Se Ladkhadate Rahe “Raaj“ Be-sahara,
Wo Bhi Apni Mohabbat Ka Mujhe Sahara Nahi Deta.
By Rajnish Raaj
More Shayari by Rajnish Raajमुझे वो ख़त लिखता है मगर पता नहीं देता,
इस तरह तकलीफ कोई कभी दूसरा नहीं देता,
मेरे दिल में रहती है गम की एक चिंगारी,
मैं जैसे इसे निकालने का रास्ता नहीं देता,
इज़हार पे निगाहें चुराना तो अदा है उनकी,
अपने खयालातों का वह कोई इशारा नहीं देता,
सुकून को तरसता है मेरा दिल इस तन्हाई में,
वो मुझे अपने मोहब्बत का साया नहीं देता,
तन्हाई के सितम से लड़खड़ाते रहे "राज" बे-सहारा,
वो भी अपनी मोहब्बत का मुझे सहारा नहीं देता।
woh bewafa na tha,,,uoun hi badnam hw gaya,,,,,,hazaroun chahny waly thy kis kis se wafa krrta