Wo Bachpan Ke Rangee.N Khayalon Ki Duniya;
Wo Dadi Ke Kisse Sawalon Ki Duniya .
Kahan Hain Wo Mere Khiloune Kahan Hain ;
Wo Chhoti Si Asha Ki Chhoti Si Duniya.
Wo Papa Ki Wahon Ka Jhoola Kahan Hai;
Wo Mitti Ki Haandi Wo Chulha Kahan Hai;
Kahan Hai Wo Mere Chaheeton Ki Mehfil;
Wo Jugnu, Wo Titly Sitaron Ki Duniya .
Ye Duniya Nahi Hai Luteron Ka Gher Hai;
Yahan Be-Imani Hi Sham-O-Shaher Hai;
Gunahon Se Dhokhon Se Mujhko Bacha Lo;
Khudaya Dila Do Wo Mashoom Duniya.
Mujhe Neend Aane Lagi Hai Na Chhedo,
KÂ Mai Aaj Yaro Bahut Thak Gaya Hoon;
Mujhe Raston Ka Tajurba Nahi Hai ;
Yehi Sochker Mai Jara Ruk Gayaa Hoon.
Meri Maa K Aanchal Mein Mujhko Sula Do;
Wahi Hai Wahi Haan Wahi Meri Duniya.
Dard uthte hai mager aah nahi karte.
Kon kaheta hai ham wafa nahi karte.
Aaqir kyon nahi badalti taqdeer meri.
Kya tum mere haq me dua nahi karte.
Taluqaat ka ab imtehan koi na ho.
Barahe rast mile darmiyan koi na ho.
Badi ajeeb siyasat hai mere qaatil ki.
badan par zakham lage or nishan koi na ho.